Wednesday, June 9, 2010

mohabbat hum nahin kartay



tumhen aisa kyun lgta hai kay hum khud dhoondtay hain apnay rishton ko,

suno jana! kabhi aisa nhin hota,

tumharay or mere chahnay se kuch nhin hota,

kay sab rishtay, sabhi bandhan kahin pehlay se rakhay hain,

woh saaray aanay walay pal jo aakhir beet jatay hain,

jo hum se jeet jatay hain,

woh sab pehlay se rakhay hain,

samjh kar soch kar rakhay hain saray pal, sabhi rishtay,sabhi mosam,

mohabbat bhi to lamha hai, mohabbat bhi to mosam hai,

yeh kis ke dil pay utray ga?

kahan par kab khileyga, konsi galiyon main mehkay ga?

najanay konsa dil iskay rangon main fana hoga?

najanay konsa dil is lamhay ko patay he ghani tareekh galiyon ki musafat say raha hoga?

wazahat hum nhin kartay,

mohabbat hum nhin krtay,

kay yeh to jadugarni hai jo humko dhoond leti hai,

humen pehchan leti hai,

kisi masroof kamray main pari beekaar chezon say yeh humko chaan leti hai,

kabhi jab zakhm khalta hai,

bason or daftaron ki bheer main bhi yeh hamaray sath chalti hai,

lahu ki dhoop main chup chaap jalti hai,

hina ki khusbuon main jab utari hai hamari jaan leti hai,

yeh hum main bandh deti hai naye mosam, naye soraj, naye tare or khusbo,

yeh hum ko sonp deti hai koi aizaaz jiska maan rakhna farz hota hai,

yeh hum par bojh banti hai,

yeh hum par qarz hota hai,

kahan, kis par nichawar jaan krni hai,

yeh chahat hum nhin kartay,

suno jana! mohabbat hum nhin krtay….

No comments:

Popular Posts