Sunday, June 6, 2010

Nahin shaam-e-safar aisa nahin hai


Nahin shaam-e-safar aisa nahin hai
Musafir laut kar aya nahin hai

Hum itne dukh main bhi bikhrey nahin hain
Humara haal tum jaisa nahin hai

Main aise shehar main tanha khara hoon
Jahan tanhai bhi tanha nahin hai

Mere jaisa naa tha abaad koi
Mere jaisa koi ujraa nahin hai

Tumhare naam ka ansoo koi bhi
Humari ankh mein thehraa nahin hai

No comments:

Popular Posts