Sunday, June 6, 2010

wo mujhe yaad too aata hai mager is tarah

wo mujhe yaad too aata hai 
mager is tarah 
jaise barsoon pehle 
bichra hoa musafir 
thak haar ke ghar ko lotay 
jaise mazi ki kuch talkh yadain 
kabhi aa ker dastak dain 
mager un dastak ka koi jawad tuk na aaye 
jaise kitab main 
rakha hoa ik ghulab ka phool 
jo kab ki apni qadar kho chuka hoo 
wo mujhe yaad too aata hai 
mager is tarah jaise 
hawa ka ik jhoonka 
jo pal bhar ko tharay 
aur guzar jaye.

No comments:

Popular Posts