Thursday, August 12, 2010

Gham-e-firaaq se pehlay,shab-e-visaal ke baad


Gham-e-firaaq se pehlay,shab-e-visaal ke baad,
Hai aur kya jisse dekhein tere jamal ke baad....

Tamaam umer kati intezar mein apni........
Koi bhi dukh na mila phir, tere malal ke baad....

Jawab mil gaya mujh ko teri khamoshi ka...,
Tumharey lafz jo khoye ,mere sawal ke baad...

Tumaray meray ta'aluq pe yun khizan chahi ,
Koi urooj nahi hai jaisey ,iss zawal ke baad....

Main teri yaad ke chehray ko dhaanp doon lekin,
Bachay ga kya meri jholi mein,iss kamal ke baad...

woh ab ki bar mila iss qader takaluf say...,
K kuch na poch saka uss se,us ke haal ke baad

No comments:

Popular Posts