Thursday, August 12, 2010

us habs e be-khalal ki ada par na jaeyo


us habs e be-khalal ki ada par na jaeyo !
ab ghar k bam o dar b sanbhal k sajaeyo !

tu hairaton ki zad mein ghirri moj e kam nishaan
main seel e be kinaar , merey munh na aeyo !!

ankhon mein aik ashk hai baqi hava e shaam
yeh akhiri dia hai , isey mat bujhaeyo !

hona hain asmaan se "shahabon" ki barishain
gar hosakey to ghar ka andhera bachaeyo !

ya aam kijiyeo na junoon ki hikaayatain !
yeh shehar chor dijiyeo , sehra basayeo !

har shakhas kab sanbhaal sakeyga mataa e dard ?
har shakhas ko na apni kahani sunayeo !

Mohsin diyaar e hijar mein lazim hai ahtiyat
rassta kathan sahi , kahin thokar na khayeo !

No comments:

Popular Posts