Thursday, December 9, 2010

na shikayatain na sawal hai koi aasra na malal hai


na shikayatain na sawal hai koi aasra na malal hai
teri bayrukhi bhi kamal thi meray zabt ko bhi kamal hai

meri chahatoon ka sila na day meray hoslay ki tu dad day
na khuda say tujh ko talab kia na hi tujh say koi sawal hai

bary rakh rakhaoo say ishq main meri wahshatoon nay guzar di
tera naam hoo tera zikar hoo meri ankh naam hoo majal hai

tu samandaroon ki misal day mujhy koh-saar passand hain
tujhay tund khoi pay naaz hai mujhy khamoshi main jamal hai

meri sooch nay meri chah nay jisy harf harf raqam kia
wohi naam likhna azzab hai wohi intesaab mahal hai

No comments:

Popular Posts