Thursday, December 9, 2010

udasioun ka ye mousam badal bhi sakta tha


udasioun ka ye mousam badal bhi sakta tha
wo chahta to mere sath b chal sakta tha



wo shaks jisey tu ney chorney me jaldi ki
tery mizaj k sanchey me dhal bhi skta tha



wo jald baz khafa ho kr chal diya warna
tnazaa'at ka koi hal nikal bhi skta tha



ana ney haath uthaney nhi diya werna
meri dua se wo pather pighal b skta tha



tmam umer terey muntazir rahey Mohsin
ye aur bat ha k wo rasta badal b skta tha

No comments:

Popular Posts