Sunday, September 6, 2009

Agar kabhi meri yaad aaey...!!!!!!!!!!!!!!!!

Agar kabhi meri yaad aaey
To chaand raat ki narm dilgeer roashni main
Kisi sitaaray ko daikh laina
Agar woh taara falak say urr kar
Tumhaare qadmon main aa giray
To yeh jaan laina
Woh mera dil tha
Agar na aaye
Magar yeh mumkin hee kis tarah hai
Ke tum kisi pe nigaah daalo
To us ki deewaar-e-jaan na tootay
Woh apni hasti na bhool jaaey
Agar kabhi meri yaad aaey
Guraiz karti hawaa ki lehron
Pe haath rakhna
Main khushbuwoon main tumhain miloon ga
Mujhe oaas qatroan ke aainoan main
Talaash karna
Main pattiyoan main tumhain miloon ga
Agar oaas qatroan ke aainoan main
Pattiyoan main
khushbuwoon main
Na paao mujh ko
To apne qadmon main dekh laina
Main gard hoti musaafaton main
Tumhain miloon ga
Kahin pe roashan charagh dekho to soach laina
Ke her patangay ke saath main bhi
Bikhar chuka hoon
Tum apne haathon say un patiangoan
Ki khaak darya main daal daina
Main khaak ban kar samandaroan main
Safar karoon ga
Kisi na daikhay hooay jazeeray
Pe ruk ke tum ko
Sadaain doon ga
Samandaroan ke
Safar pe niklo
To us jazeeray pe bhi utarna
Agar kabhi meri yaad aaye

No comments:

Popular Posts