Sunday, September 6, 2009

isay khud se juda rakha nahi hay

isay khud se juda rakha nahi hay
wo mera ho ke bhee mera nahi hay

jisay khone ka hay darmujh ko itna
usay meN nay abhee paya nahi hay

zamany ko bhala badle ga wo kia
ke jis ka khud pe bas chalta nahihay

teree yadoN se raushan hay mera dil
ye wo sooraj hay jo dhalta nahi hay

meree ankhoN ka ye darya ajab hay
ke bahta hay tu phir thamta nahi hay

khushee ka ho ya koi gham ka lamHa
guzar jata hay kyuN rukta nahi hay

naqoosh ab zehn se miTne lagay hen
bohat din se usay dekha nahi hay

suna hay phool ab khilte nahi heN
tu kia khul ker wo ab hansta nahi hay

nagar choRa hay jab se us ghazal ne
koi shayer ghazal kehta nahi hay

sabeeh is shehr meN chehre bohat hen
magar koi bhee us jaisa nahi hay

No comments:

Popular Posts