Sunday, September 6, 2009

ghane jangloon ke safar pe tha woh jo muddaton se chala hua

ghane jangloon ke safar pe tha woh jo muddaton se chala hua

ghane jangloon ke safar pe tha woh jo muddaton se chala hua
kaheen raat orrh ke so gaya woh janam janam ka thaka hua

nai dastaan shuru hui keh usi kahani ka baab hay.
wohi karbala hay hussain phir se ghaneem mein he ghira hua

miri justuju ko kamal day mujhe shak ke sanchay main dhal day
Miri por por main zehr bhar main hoon amriton ka dasa hua

wohi shola apnay wujood ka wohi lums phir say naseeb kar
tiri aag phir say bharrak utthay keh aalaao kab ka bujha hua

mujhe izn ho keh main ji uthun mujhe izn ho keh main mar sakoon
aey khudaaey zindah bus aek kun main hoon dono samt bata hua

koi chand dhar mere haath pur kabhi mehr e taban saja koi
'yeh charagh koi charagh hay na jala hua na bujha hua'

tiray sab hawalay hain moutabar tira naam sab say buland hay
tu 'Jamal' day kay nishan day, main hoon harf harf mita hua

No comments:

Popular Posts