Sunday, September 6, 2009

Zindagi kya hai jaanne ke liye

Zindagi kya hai jaanne ke liye
Zinda rehna bahot zaroori hai
Aaj tak koi bhi raha to nahin

Saari waadi udas baithi hai
Mausam-e-gul ne khudkashi karli
kisne barood boya baagon mein

Aao hum sab pehenle aaine
Saare dekhenge apna hi chehra
Sabko saarein haseen lagenge yahan

Hai nahin jo dikhaii deta hai
Aaine par chapa huwa chehra
Tarjumah aaine ka thik nahin

Humko Ghalib ne yeh duwa di thi
Tum salamat raho hazar baras
Yeh baras to faqat dino mein gaya

Lab tere Mir ne bhi dekhe hai
pankhari ek gulab ki si hai
baat sunte to Ghalib ho jaate

Aise bikhre hai raat din jaise
Motiyon wala haar tuth gaya
Tumne mujhko pidoke rakha tha

Popular Posts