Wednesday, June 30, 2010

ajab din hain mohabaat k ajab musam hain chaat k


ajab din hain mohabaat k,
ajab musam hain chaat k,
kabhi gar yaad ayein tu palkoon per sitare jhilmilatay hain,
kisi ki yaad mein ratoon ko aksar jagna mamool ha apna ,
kabhi gar neend ay tu hum yeh sooch latay hain ,
abhi tu woh humare wastay soya nhi ho ga,
abhi roya nhi ho ga,
abhi hum bhi nhi sotay,abhi hum bhi nhi rotay,
so phir hum jagtay hain or us ko yaad kartay hain,
aklay beth kar weran_e_dil abad karte hain,
humray samnay taroon k jhurmut main akela chandh hota hai,
falak per rakas karte un anghinat roshan sitaroon ko,
jo hum tartib diytay hain ,
tu us ka naam banta hai,
hum aglay roz jab miltay hai,guzri raat ki har baykuli ka zikar karte hain ,
har eik kissa sunatay hain ,
kahan kis waqt,kis trahan sa dil darkaya, batay hain.....
main jab kheti ho k jana!
"aaj tu mein raat ko eik pal nhi soe"
tu woh kamosh rehta hai ,
per us ki neend main dobi hoi do ankhein achanka bol uthi hain,
mein jab us ko batati hoon,
k mein na raat ko roshan sitaroon mein, tumhara naam dekha hai,
tu woh holay se kehta k tum jhoot kheti hoo,
sitare mein na dekhay thay ,
or un roshan sitaroon* mein tumhara naam likha tha****
ajab masoom sa larka hai.
aksar mujh se khata hai,
"lagta hai k ab apnay sitare mil hi jay gay"
mager nadan se larke ko yeh nhi maloom k kinaray mil nhi saktay!
mohabaat ki kahani mein,mohabaat karnay waloon k
"*sitare mil nhi saktay"

janay kiun? dil kisi ajnabhi par etabhar karnay laghta hay


janay kiun? dil kisi ajnabhi par etabhar karnay laghta hay...
janay kiun? kissi ka hamari zindagi mein aana bahar sa laghta hay...
janay kiun? us sai milnay k baad haar koi ajnabhi saa laghta hay....
janay kiun? chaudwien k chaand mein ankhay us koo dhondhnay laghti hay ....
janay kiun? us k baghair haar mousam kizah kizah saa laghtha hay ...
janay kiun? janay kiun ?hamari soocho mein usi kaa khayal lagha rehtaa hay ....
janay kiun ? haar waqt usi k aanay ka intezarr lagha rehtaa hay ....
janay kiun? uss k becharnay ka khauf lagha rehtha hay ....
janay kiun? kisi sai eik baar mil kar ussi kaa honay ka dil chahtha hay ..
janay kiun? uss par sabh kuch qurbaan karnay ko dil chahta hay ...
janay kiun? uss k sath zindagi basar karnay ko dil chahtaa hay ...
janay kiun? us ki sansoon mein samanay ko dil chahtaa hay ...
janay kiun? us k sang marnay ko dil chahtaa hay ....
janay kiun??????? janay kiun ?????

Aisaa lagtaa hay k mare zindgee tum hoo


Aisaa lagtaa hay k mare zindgee tum hoo
Ajnabee hoo k ajnabee tum hoo

Abb koi arzoo naheen baqee
Jastajoo mare akhree tum hoo

Main zamee paar ghana andhraa hoon
Asmanoo kee chandnee tum hoo

Dostoon saa wafaa kee umedaan
Kiss zamanay kaay admee tum hoo

Asaa lagtaa kah mare zindgee tum hoo
Ajnabee hoo kaah ajnabee tum hoo

Bhari mehfil main tanha ho geay hain


Bhari mehfil main tanha ho geay hain
Kay ham sapnoon main aisay kho geay hain

Hamain un say nahin koi shikayat
Muqqaddar main jo kanttay bo geay hain

Hamari zindgee thee jin kay dam say
Wo dharttee orr kar ab so geay hain

Kahaan say layen gay ab un kay jaisa
Wo thay meenar e azmat, jo geay hain

Hay ye to ek peghaam e ebrat
Jo aye hain jahaan main, wo geay hain

Ek baat kahoon gar sunti ho


Ek baat kahoon gar sunti ho?"
chalo rehnay do
yay behtar hay main chup hee rahoon
main kuch naa kahoon!
jo baat naa mani jati hay uss ko kehnay kaa kea matlab?
yay socha tha ke millain gay hum
or kea kea sapnay dekhay thay
kea kea battain sochee theen!

Meray dil main thaa ke hath thaam ke bolloon gaa
kuch dair tumhari aankhon main
kuch kahay bina hee dekhonn gaa
or phir apnay labb kholoon gaa
haan boloon gaa

wo sari battain keh doon gaa
wo saray shikway kar doon gaa
main keh doon gaa........ sab keh doon gaa
kehna thee mujh ko aik hee baat

ek hasti meray dil main hay
har tanhayee mehfil main hay
wo hastee meri jaan bani
meray jeenay kaa samaan bani
meray dil main wo mehmaan bani
armaan bani----- mera maan bani
mujhay kehna thaa yay sab tum say

Par mujh ko yay maloom naa thaa
ke din wo kabhi nahi aye gaa
wo lamha jo aya bhee nahi
wo beet gea
meray dil kaa sheesha choor hua
jo hastee meri jaan bani
ek pal main hee anjaan bani

ab mujh ko kuch nahi kehna hay
chup rehna hay
dukh sehna hay
apnay laboon ko seena hay
or un zakhmoon ko seena hay
mujhay uss kay bin bhee jeena hay
ab mujh ko uss say nahi milna
or mujh ko kuch nahi kehna hay

kea toota dil jurr paye gaa?
jo waqt kaa dhara beet chuka!
murr paye gaa?????

Hamesha deir kar daita hoon mein


Hamesha Deir Kar daita Hoon ..
Hamesha deir kar daita hoon mein
hur kaam karney mein
Zaroori baat kehni ho
koi wada nibhana ho
Usay awaz daini ho
usay wapis bulana ho
Hamesha deir kar daita hoon mein

Madad karni ho us ki,
Yaar ki dharas bandhana ho
Boohat dareena rastoon per
kisi sai milna jana ho
Hamesha deir kar daita hoon mein

Badaltay mosamoom ki sair mein
dil ko lagana ho
Kisi ko yaad rakhna ho,
kisi ko bhool jana ho
Hamesha deir kar daita hoon mein

Kisi ko muat sai pehlay
Kisi gham sai bachana ho
Haqeeqat aur thi kuch
Us ko ja kay batana ho

Hamesha deir kar daita hoon mein

us ki ankh maen naami pehlay say thi


us ki ankh maen naami pehlay say thi
ek ghazal woh an kahi pehlay say thi

mujh say mill kar khush hoa kaisay kahein
us k honton par hansi pehlay say thi

kuch toh us ka husn lay duba mujhay
kuch meri awargi pehlay say thi

meray janay say pehlay hoa charcha bohat
yun toh ruswa woh gali pehlay sat thi

maen nay dekha samandar ka sukot
meray andar khamishi pehlay say thi

apni barbadi ka kioun matam karon
meray andar khudgarzi pehlay say thi

hijratain mera muqadar hein magar
admi mein be-ghari pehlay say thi

us say mil kar kioun mujhay aisa laga
us say meri dosti pehlay say thi

woh aina tamasil tha magar
shehar mein be- chehargi pehlay say thi

Maan mujhy neend nahi aati


Maan mujhy neend nahi aati
Ik mudat se mujhy neend nah aati
Maan! mujhy lori sunao naa
Maan!mujhay neend nahi aati
ratjagay ab tu muqadar hain miri palkon kay
neend aye tu liye ati ha baghdad ki yaad
ankh lagtay hi koi baiwa utha daity hai
pait kitna hi bharon bhook nahi mitty hai
jaltay basra ki mujhy pyas jaga daity hai
koi kandhar ki wadi se bulata hai mujhy
zikr kandoz ka aye tu mujhy lagta hai
kat kay sar koi hansta hai , jalata hai mujhy
bam ki awazain mujhy kuch nahi kehti hain magar
zkhm in bachon kay sonay nahi daitay hain mujhy
mairay seenay par rakho hath
rulaa do na mujhy _ _ _
Maan mujhy lori sunao na
Sula do na mujhy
Maan mujhy neend nahi aati
Ik mudat se mujhy neend nahi aati

Chand ke sath meri baat na thi pehli si


Chand ke sath meri baat na thi pehli si
Raat aati thi magar raat na thi pehli si

Hum teri yaad se kal shub bhi miley the lakin
Yeh mulaaqaat, mulaaqaat na thi pehli si

Aankh kion lout gai, khouf se sehraoon ko
Kion ke is baar tou barsaat na thi pehli si

Ab ke kuch our tarah ki thi udaasi in mein
Chaand taaroon ki yeh baaraat na thi pehli si

Ishq ne pal mein badal di meri saari duniya
Main deekha ke meri zaat na thi pehli si

pyar may hum ne kia paya tha jo bhi tha ab janay do


pyar may hum ne kia paya tha jo bhi tha ab janay do
kia samjhaein kia qissa tha jo bhi tha ab janay do

nazrain sub kehti sunti thein hum dono chup rehtay thay
Do nazroan ka aisa naaata toota tha kab janay do

hum apnay munn bhed batatay per tum ne kub dhyaan dia
hontoan ko hum nay jab si dala aayay ho tabb janay do

sannatay kehtay hain mujh se jao ja ker so jao
koi nahee hay anay wala beet gayee shabb jane do

Itna hi yad rakha mujhay Jaisay Kisi kitab main


Itna hi yad rakha mujhay

Jaisay Kisi kitab main

Bitay dinoon kay dost ka

Aik khat para huwa milay

Lafz mitay mitay say hoon

Rang URA URA sahi

Lakin who ajnabi Na ho

Uth kar tairay galay lagay

Bhoolay huway tamam dukh

Guzray huway tamam such

Beetay huway dinoon ki sab katha

Tujh say kahay or ro paray

Itna hi yad rakha mujhay

Beetay dinoon kay dost ka

Jaisay kay koi khut hoon main

Rakha huwa kitab main

Jab yaad mujhe who aata hai jab dil ko mere tarpaata hai


Jab yaad mujhe who aata hai jab dil ko mere tarpaata hai
Jab us kee judai sehtee hon
Mein tanha tanha rehtee hon
Baton mein aur khayalon mein who rehta hai meree sanson mein
Us ko hee sochtee rehtee hon
Mein tanha tanha rehtee hon
Who kuch bhi nahin lagta phir kion
Ye jaan mein us per detee hon
Mein tanha tanha rehtee hon
Ye dil kia hai ye jaan kia hai gar maang le who meree dadhkan
Mein khoshee se us ko detee hon
Mein tanha tanha rehtee hon
Ik pal kia hai ik din kia hai who kahe to saara jeevan mein
Sirf us ke liye kar detee hon
Mein tanha tanha rehtee hon
Koi wafa nahin koi ata nahin who saath rahe yun hee har pal
Ye dua mein rab se kartee hon
Mein tanha tanha rehtee hon
Is dil ka koi intesaab na tha is jeevan mein koi khawab na tha
Ab shukar hazaaron kartee hon
Mein tanha tanha rehtee hon

Aap yun na daaman churraa ke jaaiye


Aap yun na daaman churraa ke jaaiye
aakhir mera kasoor to bataa ke jaaiye

nahin jeena manzoor hame aapke bagair
agar jaana hai humko mitaa ke jaaiye

poochenge mujhse log naam qaatil ka
ye naqaab chehre se hataa ke jaaiye

kisne tode hain phool mere khwabon ke
naam to mere raqeeb ka bataa ke jaaiye

dekhiye phir tanhaa reh jaaongee main
ik chiraag to mazaar par jalaa ke jaaiye

toote dil se bhi tumko duaayen denge
na hoyiye udaas , muskuraa ke jaaiye.

Woh Nazar Kiyun Idhar Nahin Hoti


Woh Nazar Kiyun Idhar Nahin Hoti
Zindagi Ab Basar Nahin Hoti

Itna Uljha Raha Khayalon Mein
Mujhko Apni Khabar Nahin Hoti

Chahta Hoon Miloon Main Ghazlon Se
Koi Surat Magar Nahin Hoti

Chahta Hoon Mujhe Bhi Saya Mile
Par Nigahe Shajar Nahin Hoti

Rat Se Ho Gaya Hai Koi Gunah
Kyun Abhi Tak Sahar Nahin Hoti

Ghar Pahunchte Na Ye Parinde Bhi
Shaam Duniya Mein Gar Nahin Hoti

Usko Pahchaanta Kahan 'Tabish'
Gul Mein Khushboo Agar Nahin Hoti.

Andhiyoon main ik diya jalta rah jai ga


Andhiyoon main ik diya jalta rah jai ga
Mein guzer jaoon ga mera naqsh_e- paa rah jai ga

Khawahishoon ke sab prinday shor se urr jain gey
Tu khara khamosh yoon he dekhta rah jai ga

Herf jab mittney lagien tum dekhna auwraq (pages) per
Khoon_e_dil se jo likha ho ga likha rah jai ga

Bed gumaan ho ker bicherney ka uss key ghum na ker
Ab to mil ker bhi diloon main fasla rah jai ga

Main bhool jaaon tumhey, ab yehi munaasib hai


Main bhool jaaon tumhey, ab yehi munaasib hai
Magar bhulanaa bhi chahoon tou kis tarah bhuloon
Ke tum to phir bhi haqeeqat ho koi Khawaab nahin...
Yahaan to dil kaa ye aalam hai kyaa kahoon
Kamabakht
Bhulaa sakaa na ye woh silsila jo thaa hi nahin..
Woh ik Khayaal
Jo aavaaz tak gayaa hii nahin..
Woh ek baat
Jo main keh nahin sakaa tum se..
Woh aik rabt
Jo hum mein kabhi rahaa hi nahin..
Mujhe hai yaad woh sab
Jo kabhi hua hi nahin..
Agar yeh haal hai dil kaa to koi samajha'ey
Tumhein bhulaana bhi chaahoon to kis tarah bhuloon
Ke tum to phir bhi haqeeqat ho koi Khawaab nahin

itni mudat baad milay ho Kin sochoon mein ghum phirtey ho


Itni muddat baad milay ho!
Kin sochon mien gum phirtay ho?
Itnay khaif kion rahtay ho?
Her aahat say darr jatay ho
Taiz hawaa nay mujh say poocha
Rait per kia likhtay rahtay ho?
Kaash koi hum say bhi poochay
Raat gaye tak kion jagay ho?
Mien darya say bhi darta hon
Tum darya say bhi gahray ho
Kaun si baat hai tum mien aisi
Itnay achay kion lagtay ho?
Peechay murr kar kion dekha tha
Patthar ban kar kia taktay ho
Jao jeet ka jashan manao
Mien jhoota hon tum sachay ho
Apnay shahar kay saray logon say
Meri khatir kion uljhay ho
Kahnay ko rahtay ho dil mien
Phir bhi kitnay duur kharay ho
Raat humien kuch yaad nahi tha
Raat buhut hee yaad aye ho
Hum say na poocho hijar kay qissay
Apni kaho abb tum kaisay ho
Faraz tum badnaam buhut ho
Jaisay ho phir bhi achay ho…

Rang utterney main bohut dair lagi


Rang utterney main bohut dair lagi
Dil thaherney main bohut dair lagi

Teri ankhoon ke terah gahra tha
Zakham bherney main bohut dair lagi

Baat kerna thi zara see tujh sey
Baat kerney main bohut dair lagi

Kab samaita tha kissi ney mujh ko
Kab bikherney main bohut dair lagi

Bhaley Dinon ki baat hai Bhali si aik Shakal thi


Bhaley Dinon ki baat hai
Bhali si aik Shakal thi...
Na yeh ke husn-e-taam ho
Na deekhney mein aam si...
Na yeh ke woh chaley tou, kehkishaan si rahguzar lagey
Magar woh sath ho tou phir bhala bhala safar lagey...
Koi bhi rut ho us ki chub fiza ka rung roop thi
Woh garmion ki chaoon thi, Woh sardion ki Dhoop thi...
Na aisi khush libaasian ke sadagi gila karey
Na aisey be takallufi ke aina haya karey...
Na aashqi janoon ki ke zindagi azaab ho
Na is qadar kathoor pan ke zindagi kharaab ho...
So ik rooz kia howa, wafa ki behas chirr gai
Main ishq ko amar kahoon, Woh meri zidd se chirrd gai...
Main ishq ka aseer tha, Woh ishq ko qafas kahey
Ke umer bhar ke sath ko woh bad'taraz hawis kahey...
Na us ko mujh pe maan tha, Na mujh ko us pe zoem hi...
Jub ehad bhi koi na ho, Tou kia gham-e-shikastagi...
So apna apna raasta hansi khushi badal liya
Woh apni raah chal pari main apni raah chal para...
Bhali si us ki shakl thi, Bhali si us ki Dosti
Ab us ki yaad raat din nahin magar kabhi kabhi...

Meri Khatir Sahi Muskuraya Karo


Meri Khatir Sahi

Jub koi Saniha
Zindagi ke dareechey muntaqil ker de...
Jub koi hadisa
Shaam-e-Ghum ke bujhey khal-o-khad ko mukammal ker de...
Ik pal
Beetey lamhoon ka ghum
Bhool jaya karo...
Meri Khatir Sahi
Muskuraya Karo...

Zindgii ke rahoon main chaar soo andhera hai


Zindgii ke rahoon main chaar soo andhera hai
mun ke sooni wadi main kahmshi ka diara hai
jittney khawab roshan they surmageen nigahoon mein
jittney panchi urrtey they bheegti fizaoon mein
kho gye hawaoo main andhioon ke rahoon mein
ik hooo ka alem hai jo fiza pe tari hai
tum ko apna kahney
kee ye saza hamari hai
haan ye khawahish hai
phir se ye jahan badley
phir se asmaan badley
mera maherbaan badley
mein karey safer main hoon
khouf ke aser main hoon
raat ke andherey main
ajnabi nager main hoon
phir bhi sath tera ho
to na ho fiker muj ko
haan ager jo too chahey
to le chaley udder muj ko
do qadam ke rastey pe ik niya sawera hai
aik bar phir kah dey
tu ab bhi mera hai

Meri zindgee ke nisaab mein


Meri zindgee ke nisaab mein
Wo jo raqem tha ik baab mein
Chalo ajj uss ko bhula he dien
Ye herf-E-ghalet bhi mitta he dien
Jab mitta diya wohi ik sabaq
To khaber hoi dil-e-nakhalaf
Ke be-muani howey sabhi herf
Ummr-e-rafta ke sunahri kitab mein
Alfaz ke bey anat hisaab mein
Wohi ik lafz intisaab tha
Wo ik naam

Mujhay Dushmanoo Ki Khabar Na Thi


Mujhay Dushmanoo Ki Khabar Na Thi
Mujhay Dostoon Ka Pata Na Tha
Teri Dastaan Kuch Or Thee
Mera Waqiya Kuch Or Tha
Kabhi Lot Aain TO Poochna
Nahin Dekhna Inhay Goor Say
Jinhay Rasty Main Khabar Hoi
K Yeh Rasta Koi Or Tha

Tumhara naam likhney ki ijaazat chin gaee jab sey


Tumhara naam likhney ki ijaazat chin gaee jab sey
Qalam haathoon ko bura lagney laga hey

Tumhein dekhne ki ijaazat chin gaee jab sey
Noor aankhoon ko bura lagney laga hey

Tumhein chooney ki ijaazat chin gaee jab sey
Har lams merey jism ko bura lagney laga hey

Tumhein paaney ki ijaazat chin gaee jab sey
Apna hi wojood bura lagney laga hey

Tumhein khoo kar bhi jee rahi hoon jab sey
Naseeb hi apna bura lagney laga hey

niyat-e-shok bhar na jaey kaheen


niyat-e-shok bhar na jaey kaheen
to bhi dil say utay na jaey kaheen

aaj daikha hai tujhko bair k bad
aaj ka din guzar na jey kahen

na mila kar udas logon say
husn taira bikhar na jaey kaheen

arzo hai k to yahan aay
or phir umer bhar na jaey kaheen

g jalata hon or sochta hon
raeygan ye hunar na jey kaheen

aao kuch deer ro hi lain
phir ye darya uter na jaey kaheen...

Dil Ne Chaha Hai Tujhe Izhaar Nahi Kar Sakta


Dil Ne Chaha Hai Tujhe Izhaar Nahi Kar Sakta ..!!
Tumhe PaaoO Kaise Iqraar Nahi Kar Sakta ..!!

Is Gham-E-Dil Ki Haqeeqat Ko BayaaN Kaise KarOOn ..!!
Maange Tu JaaN Bhi Agar ..!! Inkaar Nahi Kar Sakta ..!!

Tujh Ko ChahoO Ya Kirdaar BanaaOn Apna ..!!
Ishq DonO Se Hai Magar Izhaar Nahi Kar Sakta ..!!

Dil MeiN Utri Teri Tasweer Bare Arse Se ..!!
Baat Dil Ki Hai Magar Sartaaj Nahi Kar Sakta ..!!

kia khata meri thy zalim tu nain kune tora mujhe


kia khata meri thy zalim tu nain kune tora mujhe

kune na meri umar bhar ki shakh pe chora mujhe

meri khushboo se bichai ga bichona raat bhar

subha hogi phaink de ga tu khaak par

patiyan urti phireen gy kho jain gy

rafta rafta khak mein miljain gy

tu nain meri jaan li dam bhar ki zeenat ke lyay

ki jafa mujh se faqat thori si farhat ke lyay

gham se bhanwre royain ge aur bulbulain chilain gy

jab woh laakh dhoondne ke bawajood mujh ko na pain gy

koi kehta hai soch le samajh le maan le

dil kisy ka torna accha nahin tu jaan le

meray dil kaa ayena bikhra hua, toota hua


meray dil kaa ayena bikhra hua, toota hua!
iss main tujh ko aye gaa ab nazar kiya?

main to dorra thaa teri talash main
yay kahaan aya hoon? mujh ko khabar kiya?

chahtoon ke beech main hain faslay
chahtoon kaa ho gea hay hashar kiya?

ab raha jaata nahi, bolloon gaa main
taa abad karna parray gaa sabar kiya?

chahta thaa piyar kee barish teri
mujh say hee rootha hua hay abr kiya?

teri mehfil main sabhee puhanchay huay
mujh pay hee chalta hay tera jabr kiya?

aakhri moqqa hay milnay kaliay
dekhain piyar kee hay qadr kiya?

us ney poocha haath ki reeykhaoon per wishwas hai tumhara


us ney poocha

haath ki reeykhaoon per wishwas hai tumhara?

mein ney kaha bus thoda thoda

woh bola,

dekhlana tu tehreer hai kya haathoon pey tumharey

mein ney kaha choro jaaaney do,

kya rakha hai in baatoon mein

us ney jab israar kiya tu,

mein ney muthee khol dekhai

us ney haath ko thaama,,,dekha aur yeh bola

cross buhut hain zayada is per

waisay qismat buri nahi hai

haath chura ker mein yeh boli,,,

such kehtey hoo,, yun hi ho ga

tab woh aahista sa bola

such poocho tu, mein ney sab jhoot kaha hai

qismat k is ellam sey mein bhi nawaqif hoon

mein ney tu bus haaath tumhara chhona chaha.....

guzartay lamho mujhay batao zindagi ka usool kia hay


guzartay lamho mujhay batao zindagi ka usool kia hay ?
tamam haathon main aainay hain tau kon kis say chupa hua hay ?
agar sada ka wujood kaano say munsalik hay
tau kon khushboo main bolta hay?
agar samander ki hud hai saahil
tau kon aankhon main bolta hay?
tamam cheezain agar yehi hain
tau kon cheezon say mawra hay?
kissay khabar badaltee rut nay puranay patt-to say kia kaha hay?
yeh kon badal say ja kar poochay kay itnay mausam kahan raha hai ?
jo aaj dekha hai kal na ho ga
koi bhi lamha atal na ho ga
guzartay lamho mujhay batao
zindagi ka usool kia hay ?

MAINE YE KAB CHAHA KI TUM MERE BANOO


MAINE YE KAB CHAHA
KI TUM MERE BANOO

KAB CHAHA MAINE
KE TUMHARE SARE SAPNEE

TUMHARE SARE JAZBAAT
TUMHARE SAB KWAHISHAT

TUMHARE SAB ARZOOYEE
YAHA TAK KE

TUMHARE DIL KI NIHAN KHANOO MAI
CHUPII MUHABAATEIN

SAB MERE HOON
HAAN...........ALBATTA ITNI KHWAHISH HAI

KE TUM MUJHE APNE TAMAM DUKH DE KAR
MERE ZINDAGI KI HANSII LE LOO.

ter faraq ki lamhe shumar kartii howe


ter faraq ki lamhe shumar kartii howe
bikar gai hai tera intezar kartii howe

tu mai bhi kush hoon koi jaa ki usse keh de
agar wo kush hai mujhe bekarar karte howe

mai muskurata howa aane mai ubron ga
wo roo pare gii achanak singaar kartii howe

tumhe kabar hi nahi koi toot gaya hai
muhobaat ko bohat paidar kartii howe

wo keh rahi thi samandar nahi aankee hai
mai doob gaya itebar karti howe

tujhe khabar hai ab lot kar na aonga
tujh ko yaad kiya dard par kartii howe.

haath uthay hain magar lab pe dua koi nahin


haath uthay hain magar lab pe dua koi nahin
ki ibadat bhi woh jis ki jaza koi nahin

yeh bhi waqt ana tha ab to gosh har awaz hai
aur mere barbad-e-dil main sada koi nahin

aa ke ab tasleem kar lein tu nahin to main sahi
kaun maneyga ke hum mein bevafaa koi nahin

waqt nay woh Khak uraii hai ke dil ke dasht se
qafiaye guzare hain phir bhi naqsh-e-paa koi nahin

Khud ko yun mahasur kar baitha hoon apani zaat mein
manzilein chaaron taraf hai rastaa koi nahin

kaise rastoon se chale aur kis jagah pahunchay 'Faraz'
yaa hujoom-e-dostaan thaa saath yaa koi nahin

Ghum apni mohabbat main dono, nayab ho tum nayab hain hum


Ghum apni mohabbat main dono, nayab ho tum nayab hain hum
Kia hum ko khuli aankhain dekhain,ik khuwab ho tum ik khuwab hain hum

Kia mehsher-khaiz. judai hai ,kia visal, qayamat ka ho ga
Jazbaat ka aik sailab ho tum ,jazbaat ka aik sailab hain hum

Ik hans purani yaadon ka betha hua kankar chunta hai
Tapti hui hijar ki gharion main sookha hua talaab hain hum

Ik waqt talatum-khaiz hain hun,gardish main tumhay bhi le lain gain
Is waqt na tair aey kashti-ae-dil is waqt tau khud gardab hain hum

Aey chashm-e-falak aey chashme-zameen!hum log tau phir anay kay nahi
Do char ghari ka sapna hain, Do char ghari ka khuwab hain hum !!!!!

meri tasviir mein rang aur kisi kaa to nahin


meri tasviir mein rang aur kisi kaa to nahin
gher le.n mujhako sab aake main tamaashaa to nahiin


zindagii tujhase har ik saans pe samajhautaa karoon
shauq jiine kaa hai mujhako magar itanaa to nahin


rooh ko dard mila dard ko Ankhain na milii
tujhako mahasoos kiyaa hai tujhe dekhaa to nahin


sochatay sochatay dil Dobane lagataa hai mera
zahan kii tah mein 'Muzaffar' koii dariyaa to nahin

zakhm-e-tanhai me.n khushbu-e-hina kisaki thi


zakhm-e-tanhai me.n khushbu-e-hina kisaki thi
sayaa dewar pay mera tha sada kisaki thi


uski raftar se lipati rahi meri aankhain
us ne mur kar bhi na dekha ki wafa kis ki thi

waqt ki tarah dabe paon ye kaun aya hai
main andhera jisay samajha woh qaba kis ki thi

ansuon se hi sahi bhar gaya daaman mera
hath to main ne uthaaye the dua kisaki thi


meri aahon ki zaban koi samajhata kaise
zindagii itani dukhi meray siva kisaki thi


aag se dosti us ki thi jala ghar mera
di gai kis ko saza aur Khata kisaki thi

main ne biina_iyaa.N bo kar bhi andheray katay
kis ke bas mein thi zameenn abr-o-hava kis kii thii

chhor di kis liye tu ne "Muzaffar" duniyaa
justjuu si tujhe har waqt bata kisakii thii

taira jeevan aur jeevan k saray lamhay


taira jeevan...
aur jeevan k saray lamhay
in lamhoon k saray dukhray
saray gham.......saray alam
mairay dost ........
mairay nam..........
maira jeevan.....
aur jeevan ki sari gharyaan
in gharion ki sari khushian
saray sukh.......saray aram
mairay dost.......
tairay nam.....

gulzar-e-hast-o-boo na begaana waar dekh


gulzar-e-hast-o-boo na begaana waar dekh
hai dekhane ki cheez ise bar bar dekh


aaya hai to jahan mein misal-e-sharar dekh
dam de najaye hasti-e-naapaaye daar dekh


mana ke teri deed ke qabil nahin hoon main
tu mera shauq dekh mera intazar dekh


kholi hain zauq-e-deed ne aankhein teri to phir
har rahaguzar mein naqsh-e-kaf-e-paay-e-yar dekh

kitne khabon ke mahal maine banaey lekin


kitne khabon ke mahal maine banaey lekin
jab khuli ankh to koi bhi salamat na mila
aaj phir aik naya qasr banane ke liye
maine armanon ke madfan pe bina rakhi hai
janta hun ke hamesha ki tarah yeh bhi mahal
khak hojaega,gir jaega,mit jaega
ek woh lamha-ey rahat ke talab hai jiski
mere daman-e talab main na kabhi aeyga
lekin is baar yeh socha hai ke is qasr ke sath
main khud bhi mehfil-e hasti se guzar jaunga

ey zindgi tu kabhi to mera saath de


ey zindgi tu kabhi to mera saath de
kismat ki do lakirain mere haatho mai bhi daal de
meri bhi bhujti hui har saans mahek uthegi
gar tu kahi se mujhe ek baar aawaz de.
naa aas rahegi phir jeene ki
naa hi gamo ke aansu peene ki
khil utega har adhura khawab mera
gar pyaar ke do bond tu meri aankho mai daal de.
ey zindgi tu kabhi to mujhe aawaz de
ey zindgi tu kabhi to mera saath de

jo rehtay hain sada dil mein unhain dhoonda nahi kertay


jo rehtay hain sada dil mein unhain dhoonda nahi kertay
jo rach jain rag o pay mein unhain socha nahi kertay

baharon kay ghanay saye mein tulkhi bhi, chubhan bhi hai
gamon ki dhoop ka tum say mager shikva nahi kertay

nahi aatay kabhi bhi laot ker guzray huay maosam
barastay badlon ki aas mein trsa nahi kertay

tajasus aur berhta hai machal jatay hain sun ker hum
achanak piyar ki baton ka rukh mora nahi kertay

teri nazer e inayat say huay jatay hain jo ghayal
unhain qatil nigahoon say kabhi dekha nahi kertay

Kash hum tum bhi ajnabi hotay


Kash hum tum bhi ajnabi hotay
jaise dunya ke loag hotay hain

lataluq wafa se begane
itefaqan kabhi miljaye

rah se katrake hum nikal jate
na tasadum pe dil machal jata

na muhabbat ke deep jal patay
na yeh ghazlein kabhi mein likh pati

na afsano ka silsila hota
na muhabbat ke imtihan hotay ...

Aansu'on ki jahaan payamaali rahi


Aansu'on ki jahaan payamaali rahi
Aisii bastii charaagon se Khaali rahi

Dushman'on ki tarah us se larte rahe
Apani chaahat bhi kitni niraali rahi

Jab kabhi bhi tumhaara Khayaal aa gaya
Phir kai roz tak bekhayali rahi

Lab tarasate rahe ik hansi ke liye
Meri kashti musaafir se Khaali rahi

Chaand taare sabhi ham-safar the magar
Zindagi raat thi raat kaali rahi

Mere siine pe Khushbu ne sar rakh diyaa
Merii baanho'on mein phuloon ki Daali rahi

Badalti Rutoon se ghabra ker Aansoo'on se


Badalti Rutoon se ghabra ker....
Aansoo'on se tang aa ker....
Ik rooz
Main ne apney sarey khawab
Apney kamrey ki deewaroon se keh daley....
Our ab main sota rehta hoon
Deewarein rooti rehti hain

Tumharey gham ki dali utha k Zubaa'n pe rakh li


Tumharey gham ki dali utha k
Zubaa'n pe rakh li hey dekho mein ney,
Ye qatra qatra pighal rahi hey..
Mein qatra qatra he gee raha hun
Pighal pighal ker galey se utrey ga akhri qatra dard ka jab
Mein saans ki akhri girah ko bhi khol doun ga
K dard he dard ki mujhey tou
Dua mili apni zindagi se.

Rishta Insanoon ki is basti main


Insanoon ki is basti main
pochatay hain jab log ya muj say
tara is say kaya nata hai
bathai chup sa rah jati hoon
soch ki ro main bah jati hoon
pochay koi nadanoon say
baday-saba ko kabi kasi nay
sahakl ka jama pahnaya hai
phool or khushboo kay rishatay ko
nam bala koi day paya hai

muhabbat ke sagar chhalakane lage hain


muhabbat ke sagar chhalakane lage hain
wo dil banake dil mein dharakane lage hain

ye kaisi wafaon ki reet aa gai hai
Khayalon mein ek beKhudi chaa gai hai
qadam zindagi ke bahakane lage hain

umangon ke phoolon se daman bhara hai
mera khuwaab kaise haqeeqat bana hai
nigaahon mein jugnoo jhamakane lage hain

sitaaron se aage hai duniya wafa ki
magar ham ne ki hai tamanna wafa ki
jahan aaj hairat se takane lage hain

na daykh mujko nazar bhar kar k kuch baqi na rahay


na daykh mujko nazar bhar kar k kuch baqi na rahay
na tarpa yon mujko k kuch baqi na rahay

aysa na ho k mayn bhol jaon zamany ko bi
na chayr mujko k mayray ander say kuch baqi na rahay

apni piyasi rooh ko to aas dila warna
k rat ki kali andhi mayn kuch baqi na rahay

na chura mujhsay yon mayra daman
k phir is hijab k bad kuch baqi na rahy

kis ko hai parwa duniya ki aay dost
chal aakay ab khoja mujmayn k kuch baqi na rahay

Yaaro mujey moaaf rakho,main nashey main hoon


Yaaro mujey moaaf rakho,main nashey main hoon
aab do to jaam khali hi do,main nashey main hoon

ik aik farat-e-dor yuon hi mujey bhi do
jaam-e-sharrab pur na kero,main nashey main hoon

masti se darhumi hai meri guftagu ke beech
jo chaho tum bhi muj ko kaho,main nashey main hoon

ya haathoon haath lo mujey manad-e-jaam-e-mah
ya thorri door saath chalo main nashey main hoon

mahzur hoon jo payoon mara be tarha parrey
tum sargardaan to muj se na ho,main nashey main hoon

nazuk mazaj aap qayamat hain meer` jee
joon shisha merey muu na lago,main nashey main hoon

Meri Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Ho Ga


Meri Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Ho Ga
Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hoo Gi.......

Uss Nay Chaihray Ko Bazuoon Main Chupaya Ho Ga
Soocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kaye Baar Mujhy.......

Naam Hathele Par Bhe Likh Likh Kay Mitaya Ho Ga...
Jahan Us Nay Mera Ziker Suna Hoo Ga Kisi Say..

Uss Ki Aankhoon Main Koe Aansoo Tu Aya Hoo Ga..
Raat Kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho gi Tujhy........
Tu Nay Takeye Ko Bhe Senay Say Lagaya Ho ga..

Hoo Kay Nidhal mere Yadoon Say Tu Nay Jana.........
Mere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoo Ga....

Poocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka Sabab....
Tu Nay Batoon Main Khub Us Say Chupaya Ho Ga

JO BHI ANKHOON MAIN AAB RAKHTA HAI


JO BHI ANKHOON MAIN AAB RAKHTA HAI
DIL MAIN KOHI AZAAB RAKHTA HAI

ISHQ MAIN MUBTILA HAI JO LOGO
RAAT DIN KA HISAAB RAKHTA HAI

WOH HAI HUSNO JAMAL KA PEKAR
GAISOO MAIN GULAAB RAKHTA HAI

JANEY KIUN DEKH KER MUJEY AAB WO
APNEY RUKH PE NIKAB RAKHTA HAI

AAB NA JANE KOI RAAT BAR TEREY
APNI ANKHO MAIN KHUAB RAKHTA HAI

MAI HIJR K AZAB SE ANJAN BHI NA THI


MAI HIJR K AZAB SE ANJAN BHI NA THI
PER KIA HOA K SUBHA TALAK JAAN BHI NA THI

AANAY MAI GHAR MERAY TUJHAY JITNI JHIJHAK RAHI
IS DARJA TU MAI BE-SARO SAMAN BHI NA THI

ITNA SAMAJH CHUKI THI MAI USKAY MIZAJ KO
WOH JAA RAHA THA AUR MAI HIRA'N BHI NA THI

AARASTA TU KHAIR NA THI ZINDAGI KABHI
PER TUJH SE QABAL ITNI PARESHAN BHI NA THI

ROTI RAHI AGAR TU MAI MAJBOOR THI BUHAT
WOH RAAT KATNI KOI ASAN BHI NA THI

NAQD-E-WAFA KO CHASHM-E-KHARIDAR KIA MILAY
IS JINS K LIYE KOI DUKAN BHI NA THIIII

Tuesday, June 29, 2010

Shaam kay dhalney main kuch lamhey baqi hain


Shaam kay dhalney main kuch lamhey baqi hain
Din kay ghuzarney main kuch lamhey baqi hain

Dastaan khatam honey main kuch waqat tu lagey ga
Keh Haal ko mazi baneney main kuch lamhey baqi hain

Haqeeqatoon ka hisaab bhi abhi kar lein
keh khawab ke chaalney main kuch lamhey baqi hain

Challo keh muhabatoon ke hisaar ko aur mazboot kar lein
keh hamarey bicherney main kuch lamhey baqi hain

Manziloon ki hadoo ko choo ayein Challo
Keh safar ke khatam honey main kuch lamhey baqi hain

Sooraj ki rooshni ko challo apney andar samo lein hum
Keh taroo ke nikalney main kuch lamhey baqi hain

Khual kar hans lein abhi hum
Keh toot kar rooney main kuch lamhey baqi hain

Ujaloon ke tasavoor ko La-muheet kar lien
Keh tareeqi ke honey main kuch lamhey baqi hain

Challo sab kuch abhi keh dein hum
Keh Khamoshi ke honey main kuch lamhey baqi hain

Khushiyan sari sameet kar daman bhar lein
keh dard ke jagney main kuch lamhey baqi hain

Challo Aao keh ik bar pher se jee uthein
Keh iss pal ke guzarney main Kuch Lamhey Baqi Hain!!

Kal isi moor par to tumharay thay ham


Kal isi moor par to tumharay thay ham
Tum say mil kar to bas khood ko haray thay ham

Us ko panay ki khoahish main ab
Na samandar hovay na kinaray thay ham

Ishq or dosti shartoon say aaree rahi
Ham tumharay rahay or tumharay thay ham

Ham nay bharh bharh k rishtoon ko thama magar
Woh zameen bar rahay or sitaray thay ham

Sitam taktay rahay, gaam bhi sahtay rahay
Ham ajaab hi jeeyaa or neralay thay ham

Is sitam dor main tum hi ek aass thay
Tum bhi ya keh gaye "Kab tumharay thay ham?"

Har safar zindagi main raha na tamaam
Na us par thay na is PAAR thay ham

JAB BHI AATI HAIN KHAYALON MAI TUMHARI AANKHAIN

JAB BHI AATI HAIN KHAYALON MAI TUMHARI AANKHAIN
BHEEG JATI HAIN KISI GHAM SE HUMARI AANKHAIN

TUM MERAY PAS NAHI PHIR BHI TUMHARA CHEHRA
SOOCHTI REHTI HAIN DARD KI MARI AANKHIN

SILSILA TOOT BHI SAKTA THA BASARAT KA KABHI
THAM LETI NA AGAR AANKH TUMHARI AANKHAIN

MANZIL-E-ISHQ MAI AISA BHI MUQAM AYA HAI
LE GAYE AANKHON K BADLAY WOH HUMARI AANKHAIN

ASHK SAGAR BANAY TEHRIR BANI HAI ZANJEER
JAB SE BICHRI HAIN TERI PYAR SE PYARI AANKHAIN

JANAY KIA BAAT HAI KUEN DEKHTI REHTI HAIN
MERI AANKHON KI TARAF SHEHAR KI SARI AANKHAIN
 

kiyon zindagi ki rah mein majboor ho gye

kiyon zindagi ki rah mein majboor ho gye
itne hue kareeb ke hum door ho gye

aisa nahin ke hum ko koi bhi khushi nahin
likhen yeh zindagi to koi zindagi nahin
kiyon is ke faisly humein manzoor ho gye

paya tumein to hum ko laga tum ko kho diya
hum dil pe roye aur yeh dil pe ro diya
palkon se khawab kiyon gire kiyon choor ho gye

kiyon zindagi ki rah mein majboor ho gye
itne hue kareeb ke hum door ho gye
 

fasly aise bhi hon gye yeh kabhi socha na tha


fasly aise bhi hon gye yeh kabhi socha na tha
samne betha tha mere aur woh mera na tha

woh ke khushbo ki tera phela tha mere chaar soo
main use mehsoos kar sakta tha cho sakta na tha

raat bar pichali si ahat kaan mein ati rehi
jankh kar dekha gali mein koi bhi na tha

aaj us ne dard bhi apne alaida kar liye
aaj main roya to mere sath woh roya na tha

yeh sabhi waraniya is ke juda hone si thi
ankh dhond layi hui thi shehar dhond laya na tha

SHAM AYI TERI YADOON KE SITAREY NIKLEY

SHAM AYI TERI YADOON KE SITAREY NIKLEY
RANG HI GHAM KE NAHEE NAQASH BI PIYAREY NIKLEY

AIK MOHOM TAMANA KE SAHAREY NIKLEY
CHAND KE SATH TEREY HIJAR KE MAREY NIKLEY

KOHI MOSAM HO MUGHAR SHAN-E-KHAM-O-PECH WOHI
RAAT KI TARHA KOHI ZULF SANWAREY NIKLEY

RAKAS JIN KA HUMEIN SAHIL SE BAHA LAYA THA
WO BANWAR ANKH TAK AYE TO KINAREY NIKLEY

WO TO JAAN LE KE BI WESA HI SUBAK NAAM RAHA
ISHQ KE BAAB MAIN SAB JURM HUMAREY NIKLEY

ISHQ DARIYA HAI TO TEREY WOHI TAHI DASAT RAHEY
WO JO DOOBEY THEY KISI AUR KINAREY NIKLEY

DHOOP KI RUT MAIN KOHI CHAYOON UGATA KESEY
SHAAKH PHOOTI THI KE HUMSAYOON MAIN AAREY NIKLEY

EK LAMHA SAKOON KA GUZARTEY LUMHOON MEIN

EK LAMHA SAKOON KA

GUZARTEY LUMHOON MEIN

AUR IS TEZ RAFTARR ZINDAGI MEIN

JAHAN MERAY PASS UPNAY LYE WAQT NAHI HAY

JAHAN EK EK LUMHA TEZI SAY GUZAR RAHA HAY

JAHAN QADAM QADAM PER EK NAYA DUKH MILTA HAY

JAHAN HER WAQT EK NAYE KAAM KA MUNTAZZAR HAY

JAHAN SUBHA SAY SHAAM AUR SHAAM SAY RAAT TAK KA SAFFER

PULUK JHUPAKTAY HI GUZAR JATA HAY

JAHAN DHOOP HI DHOOP HAY

AUR KOI SAYA DAAR SAJAR NAHI

JAHAN QADMOON MAY THAKAN HI TAHKAN HAY

jAHAN SAATH CHALTA HUA HER SAKS AJNABEE HAY

JAHAN SUB LOOG MANZIL KI TALAB MEIN

AGAY BHER RAHAY HEIN

JAHAN KOI GHUM BAANTNEY WALA NAHI

JAHAN SIRF SEHRA HI SEHRA HAY

AUR BARISH KI UMEED NAHI HAY

AISI ZINDAGI KAY IS SAFAR MEIN

SIRF EK ARZOO EK TAMMANA HAY

KAY IS SOCHO BHERI

GHUMOON BHERI

DAURRTI HUI MASROOF ZINDAGI MAY

KAASH MUJHAY MIL JAYE

"EK LAMHA MIL JAYE SAKOON KA"
EK LAMHA SAKOON KA!!

Zindagii ka taweel safar hai Hazaron gham hain


,Hazaron dukh hain
Kahan kehkashaan sii rahguzar hai
Ghame hastii, ghame janaa
Shakastagii ka musalsal toofan
Charon taraf jaise
khada hai wehshat ka azdhaa
Ruston mein jaise muqadar huwa
Narsayon, Namooradiyon ka ghnaa jangle
Aur idher hai faqat!
Ikk sehmaa huwa Dil......
Magar janaa! Mujhe yaqeen hai
Main itnii be yaqeenyon ke darmiyaan bhi chamakta rakhoon gii
tumharii mohabbat ka qeemtii jugnoo
Apne Dil mein Zindah rakhoon gii
*Tumhara Naam*

aks khushbo hon bikharne se na roke koi


aks khushbo hon bikharne se na roke koi
aur bikhar jaon to mujh ko na samete koi

kanpe uthti hon mein yeh soch kar tanhai mein
mere chehare pe tere naam na parh le koi

jiss tarha khawab mere ho gye reza reza
is tarha se na kabhi toot ke bikhare koi

main to us din se harasa hon ke jab hukam mile
khushk pholon ko kitaabon mein na rakhe koi

abh to us rah se woh shakhs guzerta bhi nahin
abh kiss umeed pe darwaze se jhanke koi

koi ahat koi awaz koi chaap nahin
dil ki galian bari sunsaan hain aye koi

AIK WADA HAI KISI KA JO WAFA HOTA NAHI

AIK WADA HAI KISI KA JO WAFA HOTA NAHI
WERNA IN TAROO BARI RATOON MAIN KIA HOTA NAHI

JI MAIN ATA HAI ULAT DEIN UN KE CHEHREY SE NIQAAB
HOSLA KERTEY HIN LEKIN HOSLA HOTA NAHI

SHAMAH JIS KI ABROO PER JANEY DE DE JOOM KER
WO PATANGA JAL TO JATA HAI FANA HOTA NAHI

AAB TO MUDAT SE RA-O-RASAM NAZARA BAND HAI
AAB TO UN KA TOOR PER BI SAMNA HOTA NAHI

HAR SHANAWAR KO NAHEE MILTA TALATUM SE KHIRAJ
HAR SAFINEY KA MOHAFIZ NA KHUDH HOTA NAHI

HAR BIQARI PA NAHEE SAKTA MUKAM-E-KHUAAJGI
HAR KIS-O-NAQAS KO TERA GHAM ATA HOTA NAHI

HAYE YE BEGANGI APNI NAHEE MUJ KO KHABAR
HAYE YE ALAM KE TU DIL SE JUDA HOTA NAHI

BARHA DEKHA HAI SAGAR` RAHGUZAR-E-ISHQ MAIN
KARWAN KE SATH AKSAR RAHNUMA HOTA NAHI
 

bara kathan rasta hai jo a sako to sath do


bara kathan rasta hai jo a sako to sath do
yeh zindagi ka fasla mita sako to sath do

bare fareeb khao gye bare sitam uthao gye
yeh umar bar ka sath hai nibha sako to sath do

jo tum kaho to yeh dil to kia main jaan bhi fana kar doon
main kaho to ik nazar luta sako to sath do

hazaar azmaishein hazaar imtiyhan
hazaar dukh hazaar ghum utha sako to sath do

yeh zindagi yahan hazaar ghumon ke sath sath hain
rula sako to sath do hanssa sako to sath do

Sun liya hum nay yha faisla tera aur sun kar udaas hoo baithay


Sun liya hum nay yha faisla tera
aur sun kar udaas hoo baithay
zahin chup chaap ankh khali hay
jaisay hum kainaat khoo baithay


Dhundhlay dhundhlay say munzaroon say gulo
chairti hain tajaliyaan teri
bhooli basrii hui rutoon say udhar
yaadh aien tasaliyaan teri


Dil yah kahta hya hoosla rakhna
sung rasaty say hut bhi saktay hain
iss say pahlay kay ankh bugh gayye
janay walay palutt bhi saktay hain


Dil yah kahta hay zabtt lazimm hay
hijr kay din ki dhoop dhalnay takk
aitraf-e-shakast kiya karna
faislay ki gharri badalnay takk


Abh charaghaan karien hum askoon say
yah manazar bughya bughay daikhien
aik taraf tu hay aik taraf dil hay
dil ki manien kay tughya daikhien


Khud say bhi kashmakash sii jarri hay
rah main tera ghum bhi hayaal hay
chaak dar chaak hay qabay-e-havas
bay rafoo sooch-o-rooh bhi ghayaal hay


Tugh ko payya tu chaak si lain
ghum bhi amrat samagh kai pii lain ghay
varna yunn hay kay daman-e-dil main
CHUND SANSIEN HAIN GIN KAY JII LAIN GHAY

Ujre hue loogoon kay hawale na diya kar


Ujre hue loogoon kay hawale na diya kar
Jate hue darwazoon per tale na diya kar

Aa jaye gi khuwaboon main bheese badal kar
Khawhis ko kabhi daas nikale na diya kar

Hum loog khizaoon ka asasa hain mere dost
Girte hue pedoon ko sambhalay na diya kar

Ya hum ko tu aadi na bana terguon ka
Ya iss tarha yek lakt ujale na diya kar

Tuu koi samander hai too bhipra bhi kabhi kar
Darya hai too lehron ko uchale na diya kar

jo poch na tha mujhay us nay kabhi bataya nahi


jo poch na tha mujhay us nay kabhi bataya nahi
mairi talash nay us ka surak paya nahi

mujhay us ki tamanna thi jis say dur thi main
jo mil gaya tha yunhin ,mairay dil bhaya nahi

khushi kay din bhi nighahon may aik nami sii rahi
tha intazar usi zakham ka jo khaya nahi

raha jo sath dil ki dharkano ki tarhan
wo bhol kar bhi kabbhi mairay ghar may aya nahi

go aik shehar main raihtay hain ,par nahi miltay
jinhonay hum ko abhi rasta dikhaya nahi

bas aik yaad ka rishta kabhi na toot saka
zaihan nay us ko kabhi bhol kar bhulaya nahi

Ab ke hum bichre toH shayad kabhi khuwabon mein milain


Ab ke hum bichre toH shayad kabhi khuwabon mein milain
Jis tarha sukhay hoa phool, kitaabon mein milain

Dhoond ujray huwe logon mein wafa ke moti
Ye khazaane tujhe mumkin hain, kharaabon mein milain

Tu khuda hai na mera ishq farishton jaisa
Dono insaan hain to kyun itna hijaabon mein milain

Gham-e-duniya bhi gham-e-yaar mein shaamil karlo
Nasha barta hai sharaabain jo sharaabon mein milain

Aaj hum dar pe khainche gaye jin baaton par
Kya ajab kal wo zamaane ko nisaabon mein milain

Ab wo na mein hun, na tu hai, na wo maazi hai
Jaise do shaks tammana ke saraabon main milain!!!

Yeh dill to milla he sirf tujhe pyaar karney ke liye


Yeh dill to milla he sirf tujhe pyaar karney ke liye
Yeh aankhain milli hain bass tera didar karne ke liye
Tuba meri tuba soocha bhi nahi tha aysa hal ho ga ishq main
Yeh dill to milla he sirf tujhe pyaar karney ke liye
Yeh aankhain milli hain bass tera didar karne ke liye
Kiyon jane kiyon youn lage lagan badla mizaj bekhabar hain ham
Ishq ka he yeh koun sa makam na mille jahan ek pal aram
Bechain karne laga he yeh dewanapan
Yeh dharkahn milli he sirf tujhe pyar karney ke liye
Yeh aankhain milli hain bass tera didar karne ke liye
Pyar ki gali khuab ka sheher har jaga tujhe dekhe nazar
Zoor na chale jazbat per de diya tujhe jano jigar
Tere bina ab to mushkil he mera guzar
Yeh sansain mili hain sirf tujhe pyar karney ke liye
Yeh aankhain milli hain bass tera didar karne ke liye
Tuba meri tuba soocha bhi nahi tha aysa hal ho ga ishq main
Yeh dill to milla he sirf tujhe pyaar karney ke liye
sirf tujhe pyaar karney ke liye

Tum mang ker dekho ! main kuch to doon tumhain


Tum mang ker dekho !
main kuch to doon tumhain..

eik jhonka huwa ka!
eik tukra badal ka.......
mutthi bher mitti!
ghoont bher pani......

tum mang ker dekho !
main kuch to doon tumhain..

asman si bulandi!
samander si gehrai.....
paharon si khamoshi!
chand si tanhai........

tum mang ker dekho !
main kuch to doon tumhain...

patton si sansanahat!
jholi bher azadi..........
mohabbat sa ahsaas!
sitaron si jagmagahat.....

eik baar !fakhat eik baar!
aey kaash key tum mang ker to dekho.....

KAHANIA AB BADAL GAIN HAIN


KAHANIA AB BADAL GAIN HAIN
JO SACH THA AB JHOOT HOGAYA HAY
JO IN MAIN SURAJ BANA HOA THA
WO SHAB KI TARIK WADION MAIN UTAR GAYA HAY
NA KOI TEH,REER JAAGTI HAY ,NA KOI HURF BOLTA HAY
NA ANKH RASTON KO DEKHTI HAY, NA RAH MANZIL SAY ASHNA HAY
WO SARA MANZAR BADAL GAYA HAY
NA AB ZABAN KI HATELION PAR DUA THEHRI HAYNEKION KI
HAWA NAY BARBAD KAR KAY RAKH DEIN ANNA MASUM TITLION KI
NA AB GULAB MAIN WO MEHK HAY
JO RAH SAY BAHTKA Y MUSAFERON KO
BAHR MOSAM KI BASTION KA PATA BATAY
NA AB WAFA KI BASTIAN HAIN
JO THAKNAY WALON ,JO APNAY PIYARON KI RAH GUZAR SAY BICHARNAY
WALON KO HOSLA DAIN
INHAY DUA DAIN
YEH SARI BATAIN KAHANIA HAIN
NA AB WO ANKHAIAN HAIN JIN MAIN KHUAB KAY SARAY MOSAM
GULAB MOUSAM BANAY HUAY THAY
NA AB WO SHAMAIN HAIN JIN MAIN TERI FARAIB BATAIN RAFIQ
LAGTIN THIN ZAHIN DIL KO
NA AB WO DIL HAY NA DIL KI GALION MAIN WO LAAHOO HAY
JO ZINDAGI BAN KAY DOoRTA THA
JO SHAYARI BAD KAY PATHAROON MAIN GARAAZ KHUSHBOO BEKHERTA THA
WO SARA MANZAR AB BADAL GAYA HAY
NA WESAL KA KOI KHUAB BAKI ,NA AB WO HURF-E- SUKHAN RAHA HAY
KAHANIAN AB BADAL GAIN HAY
TUMHARAY JANAY KAY BAAD UN HAY
JO KHUWAB ANKHOON MAIN CHAHATOON KA YAKIN BAN KAR THAHAIR GAIY THAY
WO KHUWAB SARAY BEKHAR GAIY HAIN
MALLAL DIL MAIN UTTR GAIY HAIN
NA ZINDAGI HAY NA ZINDAGI MAIN VESAL-E- MOUSAM KI CHAH KOI
NA SHAYERI HAY NA SHAYARI MAIN JO DUKH HAY IIS SAY PANAH KOI
JO SACH THA AB JHOOT HO GAYA HAY
JO IIN MAIN SURAJ BANA HUA THA ,WO SHAB KI THAREQ WADION MAIN UTAR GAYA HAY
KAHANIAN AB BAADAL GAIN HAIN...........

jo chaho mujhay koi inaam deyna


jo chaho mujhay koi inaam dena
mairay sar mohabbat ka ilzam dena
khushi ka nahi zar say koi bhi nata
khushi k musafir ko paigam dena
dia koi ulfat ka main bhi jalaon
mairi subha lay kar mujhay shaam dena
mohabbat ki rahon main no waron ko
munasib nahi koi ilzaam dena
mohabbat k maikhanay main kia kami hai
tahi dast hoon main bhar jaam dena
mohabbat hai aasi
jo chahhon isay dosra naam dena

Tanha Tanha mat socha kar mar jay ga mat socha kar


Tanha Tanha mat socha kar mar jay ga mat socha kar
appna app gawa kar tou nay paya hai kai mat socha kar

dhoop mea tanha karjata hai kyun yeh saya mat socha kar
pyar ghari bhar ka bhi bohat hai jhota sucha mat sucha kar

who bhi tum se pyar karray hai phir dukh ho ga mat sucha kar
moond lay ankhain or chal chala manzil par mat sucha kar

Who muj se poochta hi gaya mea yaad aya tou kai karro gi


Who muj se poochta hi gaya
mea yaad aya tou kai karro gi

abhi tou tum khushion mea rahrahi hoo
kahi kabhi jo yeh sakoon tumhara kissi nay choraya tou kai karro gi

mujay tou jatay waqat zabt karnay ka boll rahi thi
tum hari ankhoon mea ja bhi kabhi sawan aya tou kai karro gi

who hi mea hoon who hi tum howho hi saray zamany hain
waqt akhir kab rokta hai jo is nay palta khaya tou kai karro gi

MUJHE MILA YEH MERE PYAR KA SILA KAISA


MUJHE MILA YEH MERE PYAR KA SILA KAISA
WOH MUJH KO BHOOL GAI AAKHRI KALAM KE BAAD.

HUM US KI RAH MAI PALKEN BICHAEY BETHEY HAIN.
WOH PHIR NA PALTI MERE AAKHRI SALAM KE BAAD.

QUSOOR DIL KA HAI IS DIL SE HOGAEY MAJBOOR.
WAGARNA HUM BHI USKO BHOOL JATE SHAAM KE BAAD.

WOH MUJH SE ITNI KABHI BE KHABAR NO THI PEHLE.
KE JITNI AAJ HUI HAI WOH CHAND GAAM KE BAAD.

HAAN YEH YAQEEN TO NA THA KE MUJHE WOH BHOOL GAI.
MAGAR AB AAGAYA YAQEEN ITNEY AYYAM KE BAAD.

TUJH KO BHULA DENA ITNA AASAAN BHI NAHI MERE LIYE.
SHAYAD MAIN TUJH KO BHOOL JAOON APNI JAAN JANE KE BAAD.

TERI JUDAI NE MUJH KO BANA DIYA SHAER.
ATHER TU SHAER NA KEHTA YUN AADHI RAAT KE BAAD.

woh raste anjanay se kuch roothay se kuch deewanay se


woh raste anjanay se kuch roothay se kuch deewanay se
hua karte thay paas kabhee tere aashiyane se

peechay murr kar dekhti hoon to aik dhundli see tasweer nazar aatee hai
apna aapko dekhti hoon to aik tooti hui taqdeer nazar aatee hai

jin raston par chaltay thay kabhee.....woh hogayee ab baiganay
tuu na raha reh gaye bus tujhpey likhay huay kuch afsanay

dil mera ab toota sa lagta hai
mausam bhee ab mujhse rootha sa lagta hai

kiyaa karoon agar ab bhee teri yaad aatee hai
jo mujhko aksar rula sa jatee hai

aa aa kar dekh le mere ashqon ko behtey huay
ab to shayad aik muddat see hogayee tujhay kehte huay

ke na baha aansoo yeh hain qeemti motiyon kee larryan
na baha ke chaltee hain dil pey mere yeh churryan

ab kiya kahoon tere janay ke baad dil ka hua hai haal hai
ab to sahr kiya mausam-e-shaam kiya

bus ab to aakhri khwhish hai baaqi
tuu ne jo diya ghum bankay mera sathee

tujhko rulaoon main waisay hee tujhko sataoon main
waqt aagaya ke apne aanswon ka badla chukaoon main

Aaj udhas hoon tow zamana mujhey phochney aya

Aaj udhas hoon tow zamana mujhey phochney aya ..
Magar Jis pe tha sadiyon ka bharam woh nahi aya..

Woh tow ek khuwaab tha toot gaya bikhar gaya hai..
ajj udhas lamhon main phir kyon mujhey woh yaad aya..

Zindagi ki musrufiyat ke woh chand din jo guzar chuke hain..
na hi un pe urooj aya,aur na hi un pe zawaal aya...

Bhool na chahti hoon har lamha ,har waqt jo guzar gaya hai..
jitna bhi rokka woh waqt utna woh mere sath chala aya...

Guzra hua kal na tha mera, na hai mera aur na ho ga kabhi...
yeh mein janti hoon magar phir bhi na dil ko karaar aya..

woh waade teri woh kasmein woh sab yaad hain mujhe...
magar phir bhi kabhi tum ko mera dil na bhoola paya..

ana parast they tum tow khudaar thi main bhi
yeh rishta hi humare dermiyaan na raas aya..

us ki muskurahat tere liye ek fareb thi
tu thi nadan, dil tera usse na samajh paya

tum aao to phool khilain


tum aao to phool khilain,
aur bad-e-saba ki baton se khushboo aay,
jab chand sitaron ki mehfil ho,
tum saath ho mere aur samandar ka sahil ho,
jab lehrain muj ko choomteen hon,
jab sooraj se chahat ki kirney phootein hoon,
jab sham ki surkhi dil ke tar bajati ho,
jab raat chandni ki nadia main nahati ho,
dil tanha ho,
dil pyasa ho,
jab dharkan shor machati ho,
tab tum aao,
aur tanhai ke zakhm silain,
tum aao to phool khlain

Mujh sey parda hai tu khawb mein aatey kyoun ho

Mujh sey parda hai tu khawb mein aatey kyoun ho
Pyar ki shama dil mein jalatey kyoun ho

Doost ho kar rahey zaroori tu nahi
Dil hi jab mil na saka hath milatey kyoun ho

Na laga paoun ga mein ilzam us per logoun
Merey mujrim ko merey samney latey kyoun ho

Alwida kehney aaey ho tu milna kia
Hai becharna tu phir galey mujh ko lagatey kyoun ho.

Zindgi mein to tumhari aa na sake


Zindgi mein to tumhari aa na sake, ab khwaabon mein chale aate hain
Tum laakh nazrein pher lo sanam, hum phir bhi chale aate hain
Kahne ko to tum bhul chuki thi, phir bhi anjaane mein pukarti ho
Tum kabhi bhuli nahin thi, sirf jaankar anjaane mein pukarti ho
Mann to mann hai, mann ko kya kahena
hum aayenge sapno mein, sapno ko kya kahena!!!

Na dekha karo tum humein teerchhi nazaron se is tarah


Na dekha karo tum humein, teerchhi nazaron se is tarah
ke jaan jaati hai jism se, neend aankhon se jis tarah
Aaankhein hai ye tumhari, ya shab e maikhana
main hosh jo kho doon, mujhe hosh mein na lana
Dekha jo tumne pyar se, wafa ka izhaar hua
paya jo tumhein zindgi mein, mohabbat ka ikraar hua
Khoya jo tumhein, ik aah nikli is dil se
dil ko jala gayi, ik bijli is dil se
Ab na aao khwaabon mein tum, kahin neend se na jagoon
main zinda hi kab tha, kahin maut se na jagoon.....!!

Her shaks ka koi talabgaar ho


Her shaks ka koi talabgaar ho
YEH ZAROORI TO NAHI
her rishta ka koi naam ho
YEH ZAROORI TO NAHI
log karte hain sawal mujh se kitne
her sawal ka main jawab doon
YEH ZAROORI TO NAHI
ker bethe hain woh pyaar ke badle pyaar ki umeed
her kisi ko badle main pyaar mile
YEH ZAROORI TO NAHI
tum jis ki karo khuwahish rahe saath umer bhar
woh sada saath rahe tumhare
YEH ZAROORI TO NAHI
poshida rakhi hain Dil main humne jaane kitni baatein
her baat ka hum izhaar karen
YEH ZAROORI TO NAHI
logon ko na pasand hai humara andaaz -e - zindagi
badlen hum ab apni zindagi
YEH ZAROORI TO NAHI
tum per hai bharosa yeh karte hain Dawa
yeh Dawa hamesha qayyam rahe
YEH ZAROORI TO NAHI
be-dili se poochte hain mera haal hai kaisa
to yeh haal bhi woh poochen to
YEH ZAROORI TO NAHI

wo apne ishq mai kaisa kamal rakhta hai

Woh Apney Ishq Mein Kaisa Kamaal Rakhta Hai
Kay Be-Rukhi Mein Bhi Mera Khayaal Rakhta Hai...


Jo Aaj Mera Nahien Hai Woh Kal Mera Ho Gaa
Kay Har Zamaana Uroj-o-Zawaal Rakhta Hai...

Ajab Nahien Woh Jahaan Bhar Ko Beywafa Samjhe
Nazar Mein Meri Wafa Ki Misaal Rakhta Hai...

Kahaan Talak Koi Dast-e-Karam Ko Zehmat Dey
Tamaam Shaher Hi Dast-e-Sawaal Rakhta Hai...

Meri UrDaan Kay Aagay Hai Kis Qadar Bey-Bas
Yeh Aasmaan Jo Sitaaroon Ka Jaal Rakhta Hai...

Tera Khayaal Hi Kuch Meherbaan Hai Warnaa
Jahaan Mein Koun Kisi Ka Khayaal Rakhta Hai...
 

Khurd ki maslihat-o-n ko ghulam mai ne kiaa


Khurd ki maslihat-o-n ko ghulam mai ne kiya
dayar-e-ishq ka ooncha muqam mai ne kiya

Muhabbaton ka safar yun tammam mai ne kiya
Mitta k zamanay mai naam mai ne kiya

Tamam shehar tha zulmat ki sazish-o-n mai shareek
magar Charagh Jallanay ka kaam mai ne kiya

Qadam qadam pe milien thokarain mujhay phir bhi
Chalan wafa ka zamanay mai aa'm mai ne kiya

Charagh hi nahi mujh ko bhi khauf lahak thaa
Hawwa k shehar mai laikin Qayam mai ne kiya

Nigah-e-Shauq ne hal ker dinn mushkilain meriii
Khamoosh reh ker bhi uss se qalam mai ne kiya

Kissi pe Waa na kia Fakhar`dil ka darwazaaa
Kissi ke Hijer mai yeh Ihtamam mai ne kiya

aag ho to jalane main dair kitnii lagatii hai


aag ho to jalane main dair kitnii lagatii hai
barf ke pighalane main dair kitnii lagatii hai

chaahe koi ruk jaaye chaahe koi rah jaaye
qaafiloon ko chalne main dair kitnii lagatii hai

chaahe koi jaisaa bhii ham safar ho sadiyoon say
raastaa badalne main dair kitnii lagatii hai

ye to vaqt kay bas main hai ke kitnii mohalat daay
varnaa baKht Dhakne mainn dair kitnii lagatii hai

mom kaa badan lekar dhuup main nikal aanaa
aur phir pighalne main dair kitnii lagatii hai

soch kii zamiino main raaste judaa hoon to
duur jaa nikalne main der kitnii lagatii hai 

kaheen aisa na ho daman jala lo


kaheen aisa na ho daman jala lo
hamare aansuon par Khaak Dalo

manana hi zaroori hai to phir tum
hamein sab se Khafa hokar mana lo

bahut roi huin lagati hain aankhein
meri Khatir zara kajal laga lo

akelepan se Khauf aata hai mujh ko
kahan ho ai mere Khwaabon Khayalon

bahut mayoos baithaa hoon main tum se
kabhi aakar mujhe hairat mein Daalo

Woh waqat meri jaan bohat door nahin hai


Woh waqat meri jaan bohat door nahin hai
jub ruk jain gi sub zeest ki rahain
Aur had say ghuzar jai ga andohe nihani
thak jain gi tarsi hoi nakam nagahain
chin jain gay mujh say meray ansoo meri aheen
chin jai gi mujh say meri baikar jawani

shiad meri alufat ko bohat yad karoo gi
apnay dil e masoom ko nasahad karoo gi
aoo gi meri goor pay tum ashak bahanay
nokhiaz baharoon kay haseen phool charhanay

shiad meri turbat ko bhi thukra kay chaloo gi
shiad meri bay sood wafaoo pay hansoo gi
is waza-e-karam ka bhi tumhain pass na ho ga
lekin nakam ko ahsas na ho ga

Alqisa maaale gham ulfat pay hansoo tum
ya ashk bahati rahoo faryad karoo tum
mazi pay naadamat hoo tumhian ya kay musarat
khamosh para soay ga da mandah e ulfat

khushaal se tum bhi lagtay ho yoon afsurda tau hum bhi nahi


khushaal se tum bhi lagtay ho
yoon afsurda tau hum bhi nahi
par jannay walay jantay hain
khush tum bhi nahi khush hum bhi nahi
tum apni khudi kay pehray main
aur dam-e-ghuroor main jakray huay
hum apni zaum kay narghay main
ana haath humaray pakray huay
aik mudat say ghalta paicha
hum apnay aap say uljhay huay
pachtaway kay angaro main
mehsoor talatum aaj bhi ho !
go tum nay kinaray dhoond liye
toofan se sambhlay hum bhi nahi
kehnay ko saharay dhoond liye
khamosh se tum hum mehar ba lub
jug beet gaye tik baat kiye
suno! khel adhoora chortay hain
bina chaal chalay bina maat kiye
jo bhaagtay bhaagtay thuk jayen
woh saaye ruk bhi saktay hain
chalo toro qasam .... iqrar karain
hum dono jhuk bhi saktay hain !!!

Tanhaiyon Ka Zehar Peena Kesa Lagta Hai


Tanhaiyon Ka Zehar Peena Kesa Lagta Hai
Koi Hum Sey pochey
Kisi Ki Yadoon Main Khoyey Rehna Kesa Lagta Hai
Koi Hum sey Pochey
Kabhi Akelay Main Apnay Aap Hi Hans Dena Kesa Lagta Hai
Koi Hum sey pochey
Kabhi Tanha Bethay Bethay Khud Hi RoLena Kesa Lagta Hai
Koi Hum Sey Pochey
Kissi K Intizar Ki Bechaini Main Taraptey Rehna Kesa Lagta Hai
Koi Hum Sey Pochey
Yeh Jaan Kar Bhi k Aanay Wala Aye Ga Nahin
Us Ki Rahoon Main Palken Bichaey Baithna Kesa Lagta Hai
Koi Hum sey pochey
Neend To Ankhon Se Koson Meel Door Hai
Yeh Soch Ker Raton Ko Tarey Ginna Kesa Lagta Hai
Koi Hum Sey pochey
Kiya Pata Agli Subha "UN" Ka Deedar Naseeb Ho
Yeh Sooch Ker Khuda Sey Dua Mangtey Rehna
K Abhi Din Ka Ujala Ho Jaey Kesa Lagta Hai
Koi Hum Sey Pochey....!!!

Aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya


Aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya,
Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya..

Yun to har shaam ummeedon me guzar jaati thi,
Aaj kuch baat hai, jo shaam pe rona aaya..

Kabhi taqdir ka maatam, kabhi duniya ka gila,
Manzil-e-ishq me har gaam pe rona aaya...

Jab hua zikr zamaane me mohabbat ka
Mujhko apne dil-e-bekaam pe rona aaya

Woh Intizar Ki Chonkhat Pey Soo Gaya Ho Ga


Woh Intizar Ki Chonkhat Pey Soo Gaya Ho Ga
Kisi Sey Waqt To Pochein Key Kya Baja Ho Ga

Main Hans Raha Hoon Latifon Ki Shairi Mehfil Mein
Woh Meri Ankhon Sey Us Waqt Ro Raha Ho Ga

Yeh Patharon Ki Tarah Kyon Udas Rehta Hai
Mujhey Yaqeen Hai Dil Us Ka Aaina Ho Ga

Main Is Khayal Sey Us key Qabeer Aya Tha
Key Dosron Ki Tarah Woh Bhi Beewafa Ho Ga

ab khushi hai na koi gham rulanay wala


ab khushi hai na koi gham rulanay wala
ham nay apna lia har rang zamanay wala

usko rukhsat to kia tha mujhe malum na tha
sara ghar le gaya ghar chor k janay wala

ik musafir k safr jesi hai sab ki dunya
koi jaldi men koi der men janay wala

ik bechehra se umeed hai chehra chehra
jistarf dekhye anay ko hai anay wala  

hamaaraa kyaa hai ke ham to chiraag-e-shab kii tarah

hamaaraa kyaa hai ke ham to chiraag-e-shab kii tarah
agar jale bhii to bas itanii raushanii hogii
ke jaise tund andhero.n kii raah me.n juganuu
zaraa sii der ko chamake chamak ke kho jaaye
phir is ke baad kisii ko na kuchh sujhaa_ii de
na shab kaTe na suraaG-e-sahar dikhaa_ii de
hamaaraa kyaa hai ke ham to pas-e-Gubaar-e-safar
agar chale bhii to bas itanii raah tay hogii
ke tez havaao.n kii zard maa_il naqsh-e-qadam
zaraa sii der ko ubhare ubhar ke mit jaaye
phir us ke baad na raastaa na rah_guzar mile
hadd-e-nigaah talak dasht-e-bekinar mile
hamaarii simt na dekho ke ko_ii der me.n ham
qabiilaa-e-dil-o-jaan judaa hone vaale hai.n
base basaaye huye shahar apanii aa.Nkho.n ke
misal-e-khaanaa-e-viiraan uja.Dane vaale hai.n
havaa kaa shor ye hii hai to dekhate rahanaa
hamaarii umar ke Kheme.n ukha.Dane vaale hai.n 

Kabhi shab se kabhi sehar se larra karti thee

Kabhi shab se kabhi sehar se larra karti thee
mudatein huwen ek shamma yahan jala karti thee

Kya baat huee keh aaj sar-e-sham band ho gayee
Ek khirrkee jo kabhi ta sehar khula karti thee

Sehamta hai dil kyoon ab ki bar is toofan mein
Garajte the badal bijli pehlay bhee gira karti thee

Kuch rang yaas me kusht-e-armaan ka hai warna
Na-omeedi is dil se door hee raha karti thee

Khata meri hee thee jo dunya se dil laga baitha
Yeh kambakht zindagi pehlay kab kisi se wafa karti thee

Main un se kah raha hoon mujhe yaad kijiye
Kabhi meri yaad jin ki dharrkan huwa karti thee

Dekho aaj ham un ki dunya me shamil hee nahin
Jin ki dunya kabhi bas ham se huwa karti thee
 

hum ko to gardish-e-halaat pe rona aaya


hum ko to gardish-e-halaat pe rona aaya
rone vaale tujhe kis baat pe rona aaya

kaise mar-mar ke guzaari hai tumhein kya malum
raat bhar taaron bhari raat pe rona aaya

kitane betaab the rim_jhim mein piyenge lekin
aai barsaat to barsaat pe rona aaya

kaun rotaa hai kisi aur ke Gham kii Khatir
sab ko apani hi kisi baat pe rona aaya

ye din to qayamat kii tarah guzara hai
jaane kyaa baat thi har baat pe rona aaya

yahan tangay-e-qafas hai,wahan fikre ashiyana


yahan tangay-e-qafas hai,wahan fikre ashiyana
naa yahan mera thikana naa wahan mera thikana

mere samne chaman tha,woh fasana chaer hamdam
mujhy yaad naa aa jaye apna ashiyana

mere roth jane wale,tujhy yoon mana rahan hoon
kay kaza kay wasty bhi koi chahey bahana

mujhy yaad hai abhi tak tere joor ka fasana
jo main fash ker doon,tujhy kaya kahy ga zamana

yeh raqeeb or tum se,raha o rasam dostana
abhi jis hawa main ho tum,woh badal gaya zamana

sar-e-raha kisy soojhii tujhy mayy ki wazh
naa yahan hai terii masjid,naamera sharab khana

kisi sarnagoon se shakh pe rakhin gey char tinkey
naa baland shakh ho gii,naagiree ga aashiyana

Qamar apney dagh-e-dil ki woh kahani main ney charii
k suna kiye sitary raat bher mera fasana

Kay jissay dil chahay uss pay mar janay ko dil chahta hai


Kay jissay dil chahay uss pay mar janay ko dil chahta hai
Kay uss kay ansoo pi janay ko dil chahta hai

Kay uss kay har gham ko mitta daynay ko dil chahta hai
Kay uss ko har paal muskurata hua dekhnay ko dil chahta hai

Kay uss par zindagani lutta daynay ko dil chahta hai
Kay uss ka hath pakar kar ura lay janay ko dil chahta hai

Kay uss ki ankhon mein kho janay ko dil chahta hai
Kay uss ki pyari pyari baton ko har paal sun nay ko dil chahta hai

Kay uss ko har khushi daynay ko dil chahta hai
Kay uss ko har chot se mehfooz rakhne ko dil chahta hai

Kay uss kay rastay mein giray huay har kantay ko utha dayna ko dil chahta hai
Kay uss ko dil mein chupa laynay ko dil chahta hai

ishq mujh ko nahi wahshat hi sahi


ishq mujh ko nahi wahshat hi sahi
mari wahshat tari shohrat hi sahi

khataam na karna taaluk hum say
kuch nahi hay to nafrat hi sahi

hum bhi dushman to nahi haan apny
gyr to tujh say mohbaat hi sahi

apni hasti hi say ho jo kuch ho
agahi gar nahi gaflaat hi sahi

hum koi tarqy wafa karty haan?
na sahi ishq museebat hi sahi

Kabhi mayyus lamhon mai Kabhi khaaif nazaron mai


Kabhi mayyus lamhon mai
Kabhi khaaif nazaron mai
Kabhi berang sochon mai
Jo lamhay guzartey hain
K jin ka beetna mushkil
K jis say aashna ho tum
Unhain rangeen kardo tum
Na ab is aas mai rahna
K koi tum ko pukaray ga
Falak pe chand to dekho
Tumhara intezar karta hai
Usay na aazmao tum
K ab k laut aao tum
K jo beet chuka woh maazi tha
Jo ab hai usay apnaao tum
Kabhi mayyus lamhon mai
Kabhi khaaif nazaron mai
Kabhi berang sochon mai
Jo lamhay guzartey hain
K jin ka beetna mushkil
K jis say aashna ho tum
Unhain rangeen kardo tum

Tum Chao To Mujhay Apnay Dil Ki Har Baat Bata Saktay Ho


Tum Chao To Mujhay Apnay Dil Ki Har Baat Bata Saktay Ho
Tum Chao To Mujhay Sahra Say Nikal Saktay Ho .............
Tum Chao To Mujhay Saiban Day Saktay Ho
Tum Chao To Mujhay Tapte Dhoop Say Bacha Saktay Ho
Tum Chao To Mujhay Apnay Wajood Main Chup Saktay Ho
Tum Chao To Andairee Raat Ki Chadar Parh Kar .............
Tum Chao To Ik Diya Roshni Ka Jala Sakltay Ho .............
Tumhay Malom Hai Kay Yah Zinadagi Kuch Dino Ki Hai
Tum Chao To Isay Hans Kar Guzar Saktay Ho
Tum Chao To Mujhay Apne Zindagi Bana Saktay Ho
Tum Chao To Mujhay Apnay Seenay Main Chupa Saktay Ho
Tum Chao To Mujhay Apnay Dil Ki Har Baat Bata Saktay Ho
Tum Chao To Kia Nahi Kar Saktay ..........
Tum Chao To Sub Kuch Kar Saktay Ho ............
Bus
Baat Tumhary Chahny Ki Hai

mujh ko bhi batao key yeh ghar kaisa laga hai


mujh ko bhi batao key yeh ghar kaisa laga hai
weeran diyaroon ka nagar kaisa laga hai

kuch sookhay hei lab bhi sunate hein kahanee
ujre huey daryaa ka safar kaisa laga hai

aik aas thee so toot gei zindagee haaree
bay-harf dua'oon ka asar kaisa laga hai

abb khawish-e-dunia na tamana hei deen kee
gumghushta sahifoon ka bhawanr kaisa laga hai

dekho mujhe zara bhi nahin khawhish-e-"Qarar"
socho ke sukhan ka ye hunar kaisa laga hai 

sab sapnay sachay nahin hotay


SAB SAPNAY SACHAY NAHIN HOTAY
kabhi soocha hai tu nay yeh aik pal ko bhee
kay jab bhee sham ho jay
to taray dikhnay laktay hain
who hum say kehnay lagtay hain
chamkoo tum bhee is tarhan
zameen yeh aasaman ho jay
magar yeh jan layna tum
yeh khawab aachay nahin hotay
kay sab sapnay sachay nahin hotay

kabhi jab chand kay sang who
falak par chamaknay lagtay hain
woh hum say kehnay lagtay hain
tumharay man kay woh masoom say jezbay
tumhari aarzuoon kay woh un deekhay sapnay
who saachay hain…
magar yeh jan layna tum
yeh khawab aachay nahin hotay
kay sab sapnay sachay nahin hotay

kabhi jab aasaman par badal chaa jain
to badaloon ki oot say woh dikhnay lagtay hain
woh hum say kehnay lagtay hain
kay aapnay khwab tum kabhi chupnay mat dayna
kabhi bhe badaloon ki oo! t main in ko tarapnay mat dayna
magar yeh jan layna tum faysal
yeh khawab aachay nahin hotay
kay sab sapnay sachay nahin hotay  

Muhabbat Ka Meri Mujh Say Hisab Mangta Hai


Muhabbat Ka Meri Mujh Say Hisab Mangta Hai
Tamam Umer Ka Mujh Say Nisab Mangta Hai

Jin Logoon Ko Main Janta Nahin
Un Logoon Kay Mujh Say Alqaab Mangta Hai

Us Kay Qadmoon Main Khushioon Ko Dhair Ker Diya
Pagal Un Cheezon Ka Jawaz Mangta Hai

Hazar Bar Kaha Sirf Tum Say Pyar Hai
Meray Pyar Ka Mujh Say Iqrar Mangta Hai

Hur Sawal Kay Jawab Ko Jantay Huay Bhi
Apnay Hur Sawal Ka Jawab Mangta Hai

Ajeeb Shaks Hay Khusioon Ko Daman Main Lay Ker
Khushioon Ki Bheeg Sir-E-Bazar Mangta Hai

Hum Mout Ki Dehleez Per Hain Janta Hai Jana Hai Hamain
Pagal Hay Hamaray Ruknay Ki Dua Mangta Hai

Monday, June 28, 2010

koi dil ko chuu kar guzar gaya abhi abhi


koi dil ko chuu kar guzar gaya abhi abhi
khamosh dil main woh shoor kar gaya abhi abhi

dil main sukoon sa tha us say milnay say pehlay
dil ki khizaon pay koi bahar kargaya abhi abhi

yeh kia hogaya hum nay kabhi socha naa tha
pursukoon ratoon ko koi besakoon kargaya abhi abhi

ab tou har pal us hi ki yadein hain
mujhe meray apnon say bhi koi paraya kar gaya abhi abhi

hum tu sapnay pehlay bhi dekhtay thay
in sapnoon main koi haseen yadein jama kargaya abhi abhi

hum shayari say kahan ashnaa thay
koi hamein shayar bana gaya abhi abhi

ghazalein tu pehlay bhi bauhat suni theen
in ghazaloon main koi apni yadein samait gaya abhi abhi..

Maana tairi nazar main taira pyaar hum nahi


Maana tairi nazar main taira pyaar hum nahi,
Kaisay kahain kai tairay talabgaar hum nahi,

Khud ko jala kay khaak kar dala, mitta diya,
Lo ab tumhari raah main dewaar hum nahi,

Jis ko sanwara humnay tamannaon ke khoon say,
Gulshan main us bahar kay haqdaar hum nahi,

Dhokha diya hai khud ko muhobbat kay naam say,
Kaisay kahain kay tairay gunahgaar hum nahi....

faasalaa to hai magar ko_ii faasalaa nahii.n


faasalaa to hai magar ko_ii faasalaa nahii.n
mujhase tum judaa sahii dil se to judaa nahii.n

aasmaa.N kaa fikr kyaa aasmaa.N Khafaa sahii
aap ye bataa_iiye aap to Khafaa nahii.n

kashtiyaa.N nahii.n to kyaa hausale to paas hai.n
kah do naaKhudaao.n se, tum ko_ii Khudaa nahii.n

liijiye bulaa liyaa aap ko Khayaalo.n me.n
ab to dekhiye hame.n ko_ii dekhataa nahii.n

aa_iiye chiraaG-e-dil aaj hii jalaaye.N ham
kaisii kal havaa chale ko_ii jaanataa nahii.n

jo mein ne chaha woh nahin hua ha


jo mein ne chaha woh nahin hua ha
mere saath to hamesha yahi hua ha

chote lagi hazaaron is nazuk dil ko
laikin iss bar dard bohat ziaada hua ha

woh nahin jaanta ha koi bhi
jo kuch uss ne taqdeer mein likha hua ha

mein andar se hoon kitni bikhri
yeh kissi par nahin khulla hua ha

mere naam itna mohabba bhara khat
yeh aakhir kiss ne likha hua ha

meri zindagi mein ha intizaar or sirf intizaar
yeh sach to ab mujh par aashkaar hua ha

kissi k dil mein sachi mohabbat nahin ha
yahaan nafraton ka jaal buna hua ha

kissi cheez ko bhi choona nahin
yahan sabhi kuch bata hua ha

koi to ho jiss ko mein zakham dikhaaoon
maseeha koi nahin yahan bana hua ha

tum aakhir kissi ko bataati kiun nahin
tumhaare saath maajra kiya hua ha

ho gi tumhaari ghalti zaroor
tabhi tumhaara sir jhuka hua ha

yeh ho gayee kiya haalat aarzoo
tumhaara to sabhi kuch lutta hua ha

Kaash mein teray haseen haath ka kangan hota


Kaash mein teray haseen haath ka kangan hota
Too baray pyaar se, chaao se armaan ke saath
Apni naazuk si kalaayi mein charhaati mujh ko
Aur betaabi se furqat ke khazaan lamhon mein
To kisi soch mein doobi jo ghumaati mujh ko
Mein teray haath ki khushbu se mehak sa jaata
Jab kabhi mood mein aa ker mujhay chooma kerti
Teray honton ki hiddat se mein dehak sa jaata
Raat ko jab bhi to neendon ke safer pe jaati
Mermareen haath ka ek takya banaaya kerti
Mein teray kaan se lag ker kayee baatein kerta
Teri zulfon ko teray gaal ko chooma kerta
Jab bhi too band-e-qaba kholnay lagti jaanan
Apni aankhon ko teray husn se kheera kerta
Mujh ko betaab sa rakhta teri chaahat ka nasha
Mein teri rooh ke gulshan mein mehakta rehta
Mein teray jism ke aangan mein khanakta rehta
Kuchh nahin to yahee benaam sa bandhan hota
Kaash mein teray haseen haath ka kanghan hota

Hawa jab teiz chalti hai Tumhari yaad aati hai

Hawa jab teiz chalti hai
Tumhari yaad aati hai
Jab patte sarsaraate haiN
Aur
Tumhara zikr hota hai

Kabhi holay se shab ko
Mere dil maiN aa ker key dekho
Hai aik mehfil saji hoti
Aur
Tumhara zikr hota hai

TumheN kaise bataooN kitni chahat
MaiN ne ki tum se
Key jab aaNsoo chalakte haiN
Aur
Tumhara zikr hota hai

Kabhi chanda ko maiN dekhooN
Kabhi taaray maiN ginta hooN
Jab chaaNdni muskurati hai
Aur
Tumhara zikr hota hai
Zamana hai bohat zalim
KaheeN yeh cheen na lay tum ko
MaiN bus khaamosh hota hooN
Aur
Tumhara zikr hota hai

dhoondnay jis may zindagi nikli wo usi shakhs ki gali nikli


dhoondnay jis may zindagi nikli
wo usi shakhs ki gali nikli

teray lehjay may kia nahi tha magar
sirf sach ki zara kami nikli

us ki aankhon ka rang gehra hay
aur may halki sanwli nikli

wo jo lagti thi kanch ki gurya
zarb parnay say aahni nikli


us haveli may shaam dhalnay par
har dareechay say roshni nikli

wo hawa tau nahi thi larki thi
kis liye itni sar phiri nikli

wo teray aasman ka kia karti
jis ki muthi say dosti nikli

umar pardah nasheen nahi hoti
jab dhali sar say'chandni nikli

Hai Dua Yaad Magar Hurf-e-Dua Yaad Nahee


Hai Dua Yaad Magar Hurf-e-Dua Yaad Nahee
Merey Naghmaat Ko Andaaz-e-Nawa Yaad Nahee

Mein ne PalkoN Se Dar-e-Yaar Ko Dastak Di Hai
Mein Wo Saayil Hoon Jisey Koi Sada Yaad Nahee

Mein Ne Jin Ke Liye RaahoN Mein Bichaya Tha Lahoo
Hum Se Kehtey Hain Wohi Ehd-e-Wafa Yaad Nahee

Kesey Bhar AayeeN Sar-e-Shaam Kisi Ki Aankhain
Kesey Tharrayi ChiraaghoN Ki Zia Yaad Nahee

Sirf Dhundlaaye SitaaroN Ki Chamak Dekhi Hai
Kab Hua, Kon Hua Kis Se Khafa Yaad Nahee

Zindagi Jabr-e-Musalsal Ki Tarah Kaatti Hai
Jaaney Kis Jurm Ki Paayi Hai Saza Yaad Nahee

Aao EK Sajda Karein Aalam-e-Madhosh Mein
Log Kehtey Hain Ke Saghar Ko Khuda Yaad Nahee

main wohi hoon jisay tum pyar kiya kerte thai


main wohi hoon jisay tum pyar kiya kerte thai
din main so baar mera naam liya kerte thai
aj kya baat hai kion mujh se khafa bethe ho
kya kisi aur ko dil apna bana bethe ho
faslay itnay to pehlay na hoa kerte thai
main wohi hoon jisay tum pyaar kiya kerte thai

mujh ko maloom hai gham hai koi sogaat nahi
tum mujeh apna kaho aysay bhi haalaat nahi
aur ger bhool gaye ho to koii baat nahi
zakham to pehlay bhi is dil pe laga kerte thai
main wohi hoon jisay tum pyaar kiya kerte tha

Main Tum Ko Chahoon Tum Kisi Aur Ko Chahoo


Main Tum Ko Chahoon
Tum Kisi Aur Ko Chahoo
Ye Mumkin Hi Nahin
Hokar Mere Kisi Aur K Raho
Ye Mumkin Hi Nahin
Mujh Se Bewafai Karke
Kahan Chaldiye Ho Tum
Ab Kisi Our Se Wafa Karo
Ye Mumkin Hi Nahin
Maine Tumhari Khatir
Sab Kuch Chor Diya Hai
Tum Mujh Ko Chor Kar Jao
Ye Mumkin Hi Nahin
Is Dil Main Sirf Tum Ko
Maine Basaya Hai
Kisi Our Ko Dil Main Tum Basao
Ye Mumkin Hi Nahin
Zindigi Main Rahi K Ab Ahi Chuke Ho
Tum Koi Our Banao Ab Hum Safar
Ye Mumkin Hi Nahin

hum ney tu khir tujh se shikayat kabhi naa ki


hum ney tu khir tujh se shikayat kabhi naa ki
aisa nahin k dil ney baghawat kabhi naa ki

kis haa main hain tere satyee howyy log
tu ney yeh poochney ki zehmat kabhi naa ki

mehsoos kaya kary ga woh oroon k darad ko
jis ney khud apney aap se ulfat kabhi naa kii

chaha hai main ney jiss ko barii shidatoon k saath
uss tarah se uss ney mujhy se muhabat kabhii naa kii

her dastan terii bohat ghor se sunii
lakin bayan apnii shikayat kabhi naa kii

ek khawab tha apnii shaboon per raha muheet
kaya khawab tha?kisi se wazahat kabhii naa kii

ek aag thii k jalty rahy jis main umer bher
ek dard tha k jis main khayanat kabhii naa

AZEEM HAI YEH QURBAT KI DURYAN BHI


AZEEM HAI YEH QURBAT KI DURYAN BHI
SAATH REH KER BHI US KO NA PANA KAISA LAGTA HAI

KISMAT MEIN NAHIN PHIR BHI USSE CHAHTE HAIN
PHOOL SAMJH KER KANTO PER CHALNA KAISA LAGTA HAI

AB TU MEHFIL MEIN BHI HUMARE LIYE TANHAI HAI
GHUM CHUPA KER MEHFIL KO SAJANA KAISA LAGTA HAI

MEHFIL MEIN DOSRO SE HANS HANS KER MILTE HAIN
TANHAI MEIN GHUM KE ANSOO BAHNA KAISA LAGTA HAI

SAMJHANE PER BHI SAMJHTA NAHIN HAI YEH DIL
US KI YAAD MEIN RAATOON KO JAGNA KAISA LAGTA HAI

USKI BERUHKI NE ITNE DIYE HAI ZAHKAM KE
ZAKHAM KHA KER BHI MUSKURANA KAISA LAGTA HAI

US SANGDIL NE TOR DIYA MERE ARMANOO KA TAJ MAHAL
DIL KE KABRUSTAN MEIN ARMANO KO DAFNANA KAISA LAGTA HAI

JAB WOH HANS HANS KER BAAT KARE DOSRO SE
TAB APNE ANSOON KO CHUPANA KAISA LAGTA HAI

USSE KHO KER TU MERE PAS RAHA KUCH BHI NAHIN
PHIR BHI KHUD KO AMEER BATANA KAISA LAGTA HAI

KHUD KO ANMOOL SAMJHNE KA THA BARA GHUMAND
PHIR BHI BEMOL BIKJANA KAISA LAGTA HAI

KHAYE HAI DHOKKAY MUHABBAT MEIN ITNE KE
PHIR BHI US KO CHAHNA KAISA LAGTA HAI

MALOOM HAI IS DEWANE KI MANZIL NAHIN HAI KOI
PHIR BHI SAFA KERTE REHNA KAISA LAGTA HAI

WOH TU AAKAR BHI KAB KE JACHUKKAY HAIN
PHIR BHI US KA INTIZAR KERNA KAISA LAGTA HAI......

Hoti Nahin Wafa To Jafa Hi Kia Karo


Hoti Nahin Wafa To Jafa Hi Kia Karo
Tum Bhi To Koee Rasme Muhabat Ada Karo,
Hum Tum P Mar Mite To Ye Kis Ka Kasoor Hai,
Aaina Le K Haath Main Khud Faisla Karo...

Ik Duniyaa Hai K Bastee Hai Teree Ankhoo Main,
Wo To Hum The K Teree Ik Nazar Ko Tarse,
Umar Itnee Ata Kar Mere Fun Ko Khaliq,
Mera Dushman Mere Marne Ki Kkhabar Ko Tarse...

Meree Her Saans Tere Naam Se Mansoob Huee,
Ab Tujhe Chahte Rehne K Siwa Kia Karna,
Yaad Karne Se Jo naraz Hai Mujhse
Bhool Kar Is Ko Bhala Or Khafa Kia Karna....

kuch yadgar shehar sitam gar hi lay chalain


kuch yadgar shehar sitam gar hi lay chalain
aye hain is gali main to pathar hi lay chalain

yun kis tarah katay ga kari dhoop ka safar
sir par khial yar ki chadar hi lay chalain

yeh keh kay chairti hai humain dil griftigi
ghabra gai hain ap to bahir hi lay chalain

is shehar bay charagh main jai gi too kahan
aa aye shab e faraq tujhay ghar hi lay chalain

Ahat si hoi thi na koi burg hila tha


Ahat si hoi thi na koi burg hila tha
main khud hi sare manazali e shab cheekh para tha

lamhoon ki faseleen bhi miray gird khari theen
main phir bhi tujhay shahr main awara laga tha

too nay jo pukara hai too bool utha haoon;warna
main fikar ki dehleez pay chup chap kara tha

phalien theen baray shahr main tanhai ki batain
shaid koi dewar kay peechay bhi khara tha

ab is kay sawa yad nahin jashan-e-mulaqat
ik matami jhgnoo meri pulkoon pay saja tha

ya barash-e-sung ab kay musalsil na hoi thi
ya phir main teray shahr ki rah bhool gaya tha

ik jalwah-e- mahjoob say roshan tha mira zehan
wajdan yeh kehta hia wohi mera khuda tha

wairan na hoo is darja koi mousam e gul bhi
kehtay hain kisi shaakh pay ik phool khila tha

ik too kay gureezan hi raha mujh sya bahar toor
ik main kay teray naqash e qadam choom raha tha

dekha na kisi nay bhi meri simat palat kar
muhsin main bikhartay hoay sheeshon ki sada tha

Silsalay tor gaya woh sabhi jatay jatay


Silsalay tor gaya woh sabhi jatay jatay
warna itnay to murasam thay kay atay jatay

shikwa zulmate shab say to kahin pehtar tha
apnay histay ki koi shama jalatay jalatay

kitna asan tha tiray hijar main marna janaan
phir bhi ik umar lagi jaan say jatay jatay

jashan muqtil hi na burpa hoa warna hum bhi
pabajolaan hi sahi nachtay gatay jatay

us ki woh janay usay pasay wafa tha kay na tha
tum faraz apni taraf say to nibhatay jatay

kub tak dard kay tuhfay banto khon-e-jigar soghat karo


kub tak dard kay tuhfay banto khon-e-jigar soghat karo
"jali hun gal muk gai ai",hun jan noo hi khiarat karoo

kaisay kaisay dushman-e-jaan ab prastash-e-haal ko aye hain
in kay baray ahsan hain tum par uthoo tasleemat karoo

tum to azal kay dewanay aur dewanoo ka shewah hai
apnay ghar ko aag laga kar roshan shehar ki raat karoo

aye bai zor piyaray tum say kis nay kaha kay yeh jang laroo
shahoon ko sheh detay detay apni bazi maat karoo

apnay gareeban kay parcham main loog tumhain kugnain gay
chahay tum mansoor bano ya peeri sadat karoo

faiz gaya ab tum bhi chalay to kon rahay ga muqtal main
aik faraz hai baqi sathi is ko bhi apnay sath karo

Ahl-e-dil aur bhi hain wafa aur bhi hain


Ahl-e-dil aur bhi hain wafa aur bhi hain
aik hum hi nahin dunya say khafa aur bhi hian

hum pay hi khatam nahin maslak shoreedah sari
chak-e-dil aur bhi hain chak-e-qaba aur bhi hain

kia hoa agar miray yaroon ki zubanein chup hain
meray shahid meray yaroon kay sawa aur bhi hain

sar salamat hai to kia sanga-e-malamat ki kami
jaan baqi hai to paikan-e-qaza aur bhi hain

munsif-e-shahar ki wahdat pay haraf a jai
log kehtay hain arbab-e-jifa aur bhi hain

Ashak ankh main phir atak raha hai


Ashak ankh main phir atak raha hai
kankar sa koi khatak raha hai

main is kay khial say gureezan
woh meri sada jhatak raha hai

tehreer usi ki hai ,magar dil
khat parhtay hoay atak raha hai

hain phone pay kis kay sath batain
aur zehan kahan bhatakraha hai

sadioon say safar main hai sumandar
sahil pay thakan tapak raha hai

aik chand saleeb saakh -e-gul par
bali ki tarah latak raha hai!

Dil ka gham dil hi jaanay kia kahoon mein kisi se



Dil ka gham dil hi jaanay
kia kahoon mein kisi se
menay aansoo chupaye
in laboon ki hansi se
dil ne to kuch chaha tha
or kuch ho gaya hai
meri aankhoon ka sapna
ab kahin khoo gaya hai
meri aankhoon ki nami
is mein ho gi na kami
chai chehray pe udaasi
jis se iqraar hua tha
jhoota woh saathi
Zakham kitnay diay hein
ham ginain bhi to kesay
dil ke tukrey huay hein
ham chunein bhi to kesay
dard mera taaza hai
zakham mera hara hai
jheel si un aankhoon mein
zehar kitna bhara hai
bujh gaye sarey diay
apni palkoon ke taley
jis ko menay pyar kia tha
woh hai harjai
Dil main kaantey chubho ker
us ne badli hein rahein
bewafa ho gai woh
dil se uthti hein aahein
bikhrey bikhrey hein armaan
saarey sapnay hein jhootay
kia jis pe bharoosa
wohi dhaagay hein tootay
zakham yeh kesay sahoon
chup bhi kesay mein rahoon
yeh nahin baat zara si

kitnay din beet gayay hain daikho to sahi


kitnay din beet gayay hain daikho to sahi
kitnay chiragh bujh gayay hain daikho to sahi

mausam bahar ka phir tanha guzar gaya
khizaan ek bar phir agayee hai daiho to sahi

kitni chahat say likhti thi mai naam tumhara
wo qalam hi tordia hai zara daikho to sahi

itni asaani say to milti nahi nafrat bhi laykin
tumnay hasil shuda piyar thukradia daikho to sahi

anchal mai apnay chupayay thay moti bohat
ab k zabt tutnay say saylab ravan hai daikho to sahi

ana rokti hai mujhay har bar jhuknay say magar
kitni bar tumnay jhukaya hai daikho to sahi

faqeer ban kar teray kuchay mai akar
kitni aas say daikhtay hain tumhain daikho to sahi

Bhala lagta hoon main sab ko Mujhay tum Achi Lagti Ho


Bhala lagta hoon main sab ko Mujhay tum Achi Lagti Ho
Jo hona hay woh ab ho Mujhay tum Achi Lagti Ho

Kabhi kabhi jaagtay sapnay mujhay achay nahin lagtay
Mager tum sowo ya jaago Mujhay tum Achi Lagti Ho

Meray gher walay jo tumhay dekhnay aaye
Zara tum hi in se keh daina k Mujhay tum Achi Lagti Ho

Zaban kholi ager main nay to ruswai ka khadsha hay
Tum hii dunya ko batla daina k Mujhay tum Achi Lagti Ho

Ye maana ghair mumkin hay tera mera milan jaanam
Mager main kia karoon bolo Mujhay tum Achi Lagti Ho

Zaban se keh nahin sakta ager adnan tu ik din
Kabhi khat usay likh do k Mujhay tum Achi Lagti Ho

Suno Acha Nahi Lagta Kay Koi Doosra Daikhay


Suno Acha Nahi Lagta

Kay Koi Doosra Daikhay

Tumhari Sharbati Aankhain

Lab-o-Rukhsaar Aur Palkain

Siyah Lambi Ghanee Zulfain

Saharay Doosra Koi

Mujhay Acha Nahi Lagta

Suno Acha Nahi Lagta

Karay Jab Tazkara Koi

Karay Jab Tabsara Koi

Tumhari Zaat Ko Khoojay

Tumhari Baat Ko Soochay

Mujhay Acha Nahi Lagta

Suno Acha Nahi Lagta

Tumhari Muskurahat Per

Hazaroon Loag Martay Hoon

Tumhari Aik Aahat Par

Hazaroon Dil Dharaktay Hoon

Kise Ka Tum Pe Yuun Marna

Mujhay Acha Nahi Lagta


Suno Acha Nahi Lagta

Hawa Guzray Tumhain Choo Kar

Na Hoga Zabt Yeh Mujhsay

Karayy Koi Tumsay Gustakhi

Tumhari Zulfain Bikhar Ja-ain

Tumharay Lams Pi Ja-ain

Mujhay Acha Nahi Lagta

Suno Acha Nahi Lagta

Kay Tum Ko Phool Bhi Dakhain

Tumharay Paas Say Mehkain

Ya Chanda Ki Guzarish Hoo

Kay Apni Roshni Bakhshoon

Rukh-e-Jana Koi Daikhay

Mujhay Acha Nahi Lagta

KaaTi Hai Gum Ki RaaT baReY Ehtaraam Se


KaaTi Hai Gum Ki RaaT baReY ehteram say

KaaTi Hai Gum Ki RaaT baReY Ehtaraam Se
Aksar Bujha Liya Hai CharaaGon Ko Shaam Se

Roshan Hai Apni Bazm Aur Is EhtamaaM Se
Kuch Dil Bhi Jal RaheY haIn CharaaGon Ke Naam Se

MuddaT huWi Hai Khoon-E-Tamanna Kiye Magar
Ab Tak Tapak Raha Hai Lahuu Dil Ke JaaM Se

Subah-e-Bahaar Hum Ko Bulaati Rahi Magar
Hum Khelte Rahe Kisi Zulfo.n Ki Shaam Se

HaR saaNs Par Hai Maut Ka Pehra Laga huWa
Aahista Aye Hayaat Guzar Is Makaam Se

KaaTii Tamaam uMr Fareb-E-Bahaar meIn
KaaNTe SamaTe-Te Rahe Phoolo.n Ke Naam Se

Ye Aur Baat Hai Ke "Dua" Hum Nay Sun Kay
aZ uS Ne Di Hai HameIn HaR Makaam Se

Aaj phir tum yaad aa rahe ho


Aaj phir tum yaad aa rahe ho
Kyu mujhe is tarah rula rahe ho

Hasi mere utho se cheen li tumne
Or khud dekh kar muskra rahe ho
\
Kaise kati hai meri raate akele me
Tum baho me kisi or ko sula rahe ho

Zindagi me ek chiraag bhi nahi
Kyu tum dil mera jala rahe ho

Meri yaado ka asar hoga kabhi
Mujhe hi dil se bhula rahe ho

Beech raste me chod diya mujhe
Ab kise tum haath hila rahe ho

Kabhi ham the tumhari aankho me
Aaj hamko hi najro se gira rahe ho

Jin haatho me saji thi mehndi mere naam se
Unhi haatho se meri kabr pe phool chada rahe ho.

Kuch din pehle mohabbat ko mohabbat samjha hum ne


Kuch din pehle mohabbat ko mohabbat samjha hum ne..
Muhabbat hui mohabbat ko apna samjha hum ne..

Mohabbat main is qadar madhosh ho Gaye..
Is ki bewafai ko wafa samjha hum ne..

Zakham is qadar mohabbat ne diye..
In zakhmo ko phool samjha hum ne..

Mohabbat ki chikh o pukaar is qadar thi..
Ass pass ke logo ki roone ko asna samjha hum ne..

Mohabbat ki shidat main aankhen iskadar chandiya Gaye..
Har chamakti hui chiz ko sona samjha hum ne..

Dewaana is qadar mohabbat ne bannaya humko..
Apno ko begana aur un ko apna samjha hum ne..

Mohabbat ki yaadein dil par kuch yon naksh kar Gaye..
Bhulane ki khoshish main Khod ko hi bhula diya hum ne.......

Hum kasay pagel hotay thay


Hum kasay pagel hotay thay
Hum kasay pagel hotay thay
Ek phool ko chonay ki khater
Kantoon say zakhmi hotay thay
Jo phool jholi main aa girta
Ussay choonay say dar jatay thay
Hum kasay pagel hotay thay
K dhondaly aaeinoon main apna
Hum aks sa dhoonda kertay thay
Aor kirchayan chatkhay aaeinoon ki
Muthi main daba ker rakhtay thay
Hum kasay pagel hotay thay
Jab sadak pay chalna hota tha
Hum kashti lay ker chaltay thay
Aor beech bhanwar janay k liyey
Hum padel nikla kertay thay
Hum kasay pagel hotay thay
Jab barish barsa karti thi
Hum chatri main chup jatay thay
Aor jalti dhoop main nangay sir
Hum chatt par uchla kertay thay
Hum kasay pagel hotay thay
Jab pass woh bohat hota tha
Hum uss ko dekh na saktay thay
Jab woh door chala jata tha
Hum aahat uss ki suntay thay
Hum kasay pagel hotay thay
Jab sari dunya soti thi
Hum chand say khela kertay thay
Jab sari dunya jag utthti thi
Hum thak ker so jatay thay
Hum kasay pagel hotay thay
Hum kasay pagel hotay thay
Hum aaj b wasay pagel hain
Hum aaj b wasay pagel hain

Mujhse kehti hai ye zindagi meri Chalo Kahin dur le chalun tumko


Mujhse kehti hai ye zindagi meri,
Chalo! Kahin dur le chalun tumko,
Jahan Ranj-O-Musibat ke kafilein na ho,
Dard-O-Minnat ke mele na ho,
Aah aur ruswaiye ke Jhamele na ho,
Mujhse kehti hai aksar zindagi meri....

Chalo ! Kahin esi jagah chale hum,
Mohabbat ho harsu na ho koi ghum,
bas khwab muskrate rahe aankho me,
Na bheege palke, na ho ankhein nam,
Mujhse kehti hai aksar zindagi meri..
Chalo ! esi jagah chalo,
Jahan pooja jata ho mohabbat ko,
Jahan manga jata ho mohabbat ko,
Jahan samjha jata ho mohabbat ko,
Jahan na Ounch neech ho na koi zulm,
Chalo ! Esi jagah chalein hum,

Mujhse kehti hai aksar zindagi meri...
Jahan rishte ho mohabbat ke,
Jahan insaniyat zinda ho,
Jahan mazhab k naam pe na chale talwarein,
Jahan na khadi ho mandir- masjid ki deewarein,
Jahan na pooja ho bas paiso ki ,
Jahan na deewar ho garibi ki,
Mujhse kehti hai aksar zindagi meri...
wahan chalein e- dil mere,
Jahan bas rab ka naam ho,
Mohabbat ka paigam ho..
Chalo ! Kahin dur le chalu tumko,
Mujhse kehti hai ye zindagi meri....!!!

aisi waisi baat nahin, chhoti moti baat nahin


aisi waisi baat nahin, chhoti moti baat nahin
yeh toh mohabbat hai, yahi ibaadat hai
aankhon ke raste se dil mein utarkar dil kho jaata hai
nind udd jaati hai pyaar ho jaata hai
aisi waisi baat nahin, chhoti moti baat nahin
yeh toh mohabbat hai, yahi ibaadat hai

kabhi yeh pyar hai resham kabhi khushbu kabhi mausam
kabhi shola kabhi shabnam
kahin sargam kahin sangam, kahin pritam kahin hamdam
isise tum isise hum
chaahat ke rishte ka jo naam rakh do wahin ho jaata hai
aankhon ke raste se dil mein utarkar dil kho jaata hai
nind udd jaati hai pyaar ho jaata hai
aisi waisi baat nahin, chhoti moti baat nahin
yeh toh mohabbat hai, yahi ibaadat hai

dhadak uthata hai chhum chhum jubaan chup chup nazar gumsum
yeh chaahat ki nishaani hai
ise aankhein sunaaati hai ise aankhein samajhati hai
yeh aankhon ki kahaani hai
baahon ki raahon mein koyi deewaana jab kho jaata hai
aankhon ke raste se dil mein utarkar dil kho jaata hai
nind udd jaati hai pyaar ho jaata hai
aisi waisi baat nahin, chhoti moti baat nahin
yeh toh mohabbat hai, yahi ibaadat hai
aankhon ke raste se dil mein utarkar dil kho jaata hai
nind udd jaati hai pyaar ho jaata hai
dil pe waar hota hai, phir ikraar hota hai
tanhaayi mein rote hain, jinako pyaar hota hai

Popular Posts