Saturday, June 26, 2010

apna ehsaas mar na jaye kahin

apna ehsaas mar na jaye kahin
dard had se guzer na jaye kahin

un ko dekhe huye hoin sadiyan
un ka chehra bekher na jaye kahin

ab ke awaz doon to aa jana
dil dewana sudher na jaye kahin

un ka wada to hai mager dil ko
darr hai ke kafer muker na jaye kahin

dard,jugnoo, hawa,gilley shikway
yeh mukader sawer na jaye kahin

meri duniya hai dard ki surat
gull ki surat nikher na jaye kabhi

khak se aab tak tu aa pohchey
ab yeh derya uter na jaye kahin

yeh muhabbat bhi ek balla tehri
hum ko derr hai woh derr na jaye kahin

is liye muskuraye phirta hoon
un ki aakh bhi na bhar jaye kahin

dil se guzra to hai mager wasif
apni jaan se guzer na jaye kahin

No comments:

Popular Posts