Saturday, June 26, 2010

Kon Kehta Hai Ke Moat Aaie To Mar Jaaon Ga


Kon Kehta Hai Ke Moat Aaie To Mar Jaaon Ga
Main To Dariyaa Hoon Samandar Mein Utar Jaaon Ga

Tere Pehloo Se Jo Uthoon Ga To Mushkil Hai Ye
Sirf Aik Shakhs Ko Paaon Ga Jidhar Jaaon Ga

Ab Tere Shehar Mein Aaon Ga Musaafir Ki Tarha
Saaya-A-Abr Ki Maanind Guzar Jaaon Ga

Tera Paimaan-A-Wafaa Raah Ki Deewar Bana
Warna Socha Tha Ke Jab Chahoon Ga Mar Jaaon Ga

Chaara Saazon Se Alag Hai Mera Mayaar Ke Main
Zakham Khaaon Ga To Kuch Or Sanwar Jaaon Ga

Ab To Khursheed Ko Doobay Huay Sadiyaan Guzreen
Ab Usay Dhoondanay Mein Taa Basehar Jaaon Ga

Zindagi Shamma Ki Maanind Jalaata Hoon Faraz
Bujh To Jaaon Ga Magar Subhaa To Kar Jaaon Ga

No comments:

Popular Posts