Tuesday, July 13, 2010

Is mausam main jitne phool khilain gai


Is mausam main jitne phool khilain gai
In main teri yaad ki khushboo her su roshan hogi
pata pata bhule basre rangon ki tasweer banata guzre ga
ik yaad jagata guzre ga
is mausam main jitne taare asman pe zahir hongai
in main teri yaad ka paker manzar manzar uryan hoga
teri jhilmil yaad ka chehra roop dhikhata guzre ga
is mausam main
dil dunya main jo bhi ahat hogi
is main teri yaad ka saaya geet ki surat main dhal jaye ga
shabnam se awaaz mila ker kaliyan isko dohraeen gi
teri yaad ki sun gun laine chand mere gher utre ga
ankhain phool bichaeen gi
appni yaad ki khushboo ko dan karo aur appne dil main ane do
yah meri jholi ko bhar do yah mughey mar jaane do

No comments:

Popular Posts