Tuesday, July 13, 2010

kia begaray ga ab mera dushman


kia begaray ga ab mera dushman
mein to khud apna ho gia dushman

dost to saath choar jatay hain
aur rakhta hai wasta dushman

dost deatay hain baduwian mujeh
dey raha hai mujeh dua dushman

khauf tufan ka ab neigh muj ko
hai safenay ka na-khuda dushman

No comments:

Popular Posts