Tuesday, July 13, 2010

Woh jahaan banade koi jahan pyar hi pyar ho


Woh jahaan banade koi jahan pyar hi pyar ho,
Jahan mann ka sakoon aur dil ka karaar ho,

Jahan her taraf churiya chehkein aur mann muskaye,
Jahan hazaron phool khile aur her mausam bahar ho,

Jahan koi shikwa na ho na koi kare gunah,
Jahan sirf hansti howe sachai ka ikaraar ho,

Jahan milan ho pyar karnewale har dil ka,
Jahan bewafai na ho aur na hi intazaar ho,

Jahan mohabbat ki kabhi na haar ho,
Jahan sirf khushiyan ho aisa Sansaar ho

No comments:

Popular Posts