Saturday, July 21, 2012

Nahin rabt saye se ab kis bhi darakht ka

Nahin rabt saye se ab kis bhi darakht ka
zara fasla rahay ghar se sehra-o-dasth ka

me'ra khoN baha me'ry log mjh ko ada karain
me'ra mas'ala kisi taj ka tha na takht ka

tujhe waqt ho to ye bazi khail k dekh le
hai ajeeb nasha mohabbatoN main shikast ka

meri khaak main hain namoo ki sari aziyatain
kaf-e-kozah gar main hai zaiycha mere bakht ka

issi pesh-o-pass main me'ry khazany badal gaye
teh e sang bhi to hai aks tesha ba-dast ka

me'ri chaoN ko me'ri dhoop tak to bahal rakh
sir-e-dast moula koi nahin tahi dast ka

abhi guftani hai Saleem raz-e-sukhn bohat
abhi gonjta hai lahu main na'ara Alust ka

No comments:

Popular Posts