Saturday, July 21, 2012

shukar tera

Meri maan nay matti say kesa khilona banaya
bna kar usay tootnay say bachaya

woh chalta nahin tha
usay chabi day kar chalaya

woh hansta nahin tha
usay gudgudi say hansaya

woh rota nahin tha
usay mara peeta ... rulaya

woh bhooka tha
us ko chugaya

woh khamosh tha
kya khabar kis tarah baat karna sikhaya

woh parhta nahin tha
bari mushkilon say parhaya

woh larta nahin tha
usay zindagi say laraya

sab ahsaan us kay
keh us nay khilonay ko kya kya sikhaya

magar shukr tera keh tu nay khilonay ko
maan say milaya

No comments:

Popular Posts