Saturday, July 21, 2012

Waqt maqtal se meri laash utha laya tha

Waqt maqtal se meri laash utha laya tha
logo main apni gawahi main khuda laya tha

ab ye mousam me'ri pehchan talab karty hain
main jab aaya tha yahaN tazah hawa laya tha

le uri baad e kam aasar sir e dasht kahiN
main to sehra se te'ry ghar ka pata laya tha

meray hathon main bhi zaitoon ki shakhain thiN kabhi
main bhi honton pe kabhi harf e dua laya tha

jang k aakhri lamhoN main ajab baat huwi
Shah lartay huwaye piyaday ko bacha laya tha

lazzat e dr badri bhool chuka hoN ab to
khali hathon main kabhi arz o samaa laya tha

wo bhi daryozah gar e shehr e tamanna tha Saleem
main bhi ik kasa -e- benaam utha laya tha

No comments:

Popular Posts