Saturday, July 21, 2012

Pukarta hoon to janay kahan say aatay hain



Pukarta hoon to janay kahan say aatay hain
woh haath mujh ko bachanay kahan say aatay hain

umeed kaisay jazeeray talash karti hai
samandron mein thikanay kahan say aatay hain

zameen apnay khazanay lutati rehti hai
magar zameen mein khazanay kahan say aatay hain

sukhan mein kis tarah aatay hain aks khwahish kay
nazar mein aaina khanay kahan say aatay hain

kahan say aatay hain shakhon peh barg o gul Faisal
shajar ko ranng bananay kahan say aatay hain

No comments:

Popular Posts