Monday, September 7, 2009

HUM APNE AAP SE ITNI MORAWAT KER HI LETE HAIN

HUM APNE AAP SE ITNI MORAWAT KER HI LETE HAIN


KABHI TANHAI MAIN KHOD KO MALAMAT KER HI LETE HAIN


UNHEN ILZAM KYA DEN JIN K ZEHAR AALOOD HAIN LEHJE


KAHIN THORI BOHT HUM B TO GHAIBAT KER HI LETE HAIN


KOI TOTA HOWA DIIL JOR DETE HAIN MOHABBAT SE


NAMAZI TO NAHI LEKIN IBADAT KER HI LETE HAIN


DILON MAIN UON AGER IK DOSRE SE PYAR BERTA HAI


CHALO IK DIN BICHER JANE KI HIMAT KER HI LETE HAIN

HUM SE CHAHAT NA ZIYADA JATAYA KARO

HUM SE CHAHAT NA ZIYADA JATAYA KARO
DOOR RAHTE HO KION PAAS AAYA KARO

TERA JALWA KABHI HUM NE DEKHA NAHIN
KABHI CHEHRA HUMEN TO DIKHAYA KARO



ROZ GHERON KI MAJLIS MAIN JATE HO TUM
KABHI TO APNO KI MAHFIL SAJAYA KARO

HUM RANJEEDA BHI HAIN NEEM DEEDA BHI
AA KE DIL TUM HAMARA BEHLAYA KARO



TERI MAJBOORION KI KHABAR HAI MUJHE
BAAT BAAT PER KASMEIN NA KHAYA KARO

TERE WAADE PE HUM NE BHAROOSA KIA
KUCH TO ULFAT KA TUM BHI HAQ NIBHAYA KARO



CHAHNE WALE KI CHAHAT PE KAR LO YAKEEN
ROSHNI MAIN DIYE NA JALAYA KARO

HUM BHI HUM RAAZ HAIN TUM BHI HUM RAAZ HO
DIL KI BAAT HUM SE NA CHUPAYA KARO

Banwar Ki Gaud Mein Jasay Kinara Sath Rahta Hai

Banwar Ki Gaud Mein Jasay Kinara Sath Rahta Hai
Kuch Aisay He Tumara Or Hmara Sath Rahta Hai
Muhabat Ho K Nafrat Ussi Say Mashwra Ho Ga
Meri Her Kafiat Mein Istahara Sath Rahta Hai
Safer Mein An-Mumkin Hai K Mein Hud Ko Chor Don Lkn
Doaain Krnay Walon Ka Sahara Sath Rahta Hai
Meray MOLA Na Muj Ko Muhabton Ke Saltanat Day Di
Mager Pahli Muhabat Ka Hasara Sath Rahta Hai
Ager Meray Labon Pa Muhabat He Muhabat Hai To
Phir Ya Kis Liay Nafrat Ka Dhara Sath Rahta Hai

hum ney tu khair tujh se shikayat kabhi naa ki

hum ney tu khair tujh se shikayat kabhi naa ki
aisa nahin k dil ney baghawat kabhi naa ki


kis haal main hain tere satyee howe ye log
tu ney poochney ki bhi zehmat kabhi naa ki


mehsoos kaya kary ga woh oroon k dard ko
jis ney khud apney aap se ulfat kabhi naa kii


chaha hai main ney jiss ko barii shidatoon k saath
iss tarah uss ney mujhy se muhabat kabhii naa kii


her dastan terii bohat ghor se sunii
lakin bayan apnii shikayat kabhi naa kii


ek khawab tha jo apnii shaboon per raha muheet
kaya khawab tha?kisi se wazahat kabhii naa kii


ek aag thii k jalty rahy jis main umer bher
ek dard tha k jis main khayanat kabhii naa kii

Wo samne aye to nazron ko jhukaa loon gaa

Wo samne aye to nazron ko jhukaa loon gaa
dekhoon gaa nahi phir bhi tasweer bana loon gaa

aana ho to aa jao ruswayee nahi ho gee
dekhe ga nahi koi palkon main chupa loon gaa

jo ham per guzarni hai ik bar guzar jaye
her gham ki tarha tujh ko seene se laga loon gaa

weeran agar dil ho ankhon main andhera ho
yaadon ke diye apni palkon main saja loon gaa

manzoor agar ho gee ruswayee teree mujh ko
main beth ke sahil se toofaan utha loon gaa

naraaz agar wo hain mere nasheman se,
main apnay nasheman ke tinkon ko hata loon gaa

kyon mujh se khafa ho ker wo door gaye
baanhon main wo aa jayain main un ko mana loon gaa

Badalta Waqt Kaa Aik Silsila Sa Lagta Hai

Badalta Waqt Kaa Aik Silsila Sa Lagta Hai
Ke Jab Bhi Dekhon Ose Dusara Sa Lagta Hai

Mara Husn Kisi Admii Kaa Husm Nahi
Kisi Buzurg Ki Sachchi Dia Sa Lagta Hai

Teri Nigaah Ko TamizRang-O- Nuur Kahan
Mujhe Tu Khun Bhee Rang-E-Hina Sa Lagta Hai

Damag-O-Dil Hon Ager Mutnain Tu Chaon
Hai Dhup ThapeDaLu Ka BHi Thandi Hawa Sa Lagta Hai

Woh Chhat Pe Agaye Betab Ho ke Akhir
Khuda Bhe Ajj Sharik-e- Dua Sa Lagta Hai

Tumhara Hath Jo Aya Hai Haat main Mare
Ab Aitabar Ka Musam Hara Sa Lagta Hai

Nikal Kar Dekho kabhe Nafraton Ke Pinjare Say
Tamam Shahar Ka Manzar Khula Sa Lagta Hai

MaiN kab kahtaa huN vo acchaa bahut hai

MaiN kab kahtaa huN vo acchaa bahut hai
Magar us ne mujhe chaaha bahut hai

Khudaa is shah’r ko mahfuuz rakhe
Ye bachhoN ki tarah haNstaa bahut hai

MaiN har lamhe meN sadiyaaN dekhtaa huN
Tumhaare saath ek lamhaa bahut hai

Meraa dil baarishoN meN phuul jaisaa
Ye bacchaa raat meN rotaa bahut hai


Vo ab laakhoN diloN se kheltaa hai
Mujhe pehchaan le, itnaa bahut ha

Khuda Karay Kay Meri Arz-e-Pak Pay Utray

Khuda Karay Kay Meri Arz-e-Pak Pay Utray
Woh Fasl-e-Gul Jissay Andesha-e-Zawwal Na Ho...

Yahan Jo Phool Khillay Khila Rahay Sadiyon...
Yahan Say Khizan Ko Guzarnay Ki Majaal Na Ho...

Yahan Jo Sabza Ugay Hamesha Sabz Rahay..
Aur Aisa Sabz Kay Jisski Koi Misaal Na Ho...

Khuda Karay Kay Na Kham Ho Sir-e-Wiqar-e-Watan
Aur Iss Kay Husn Ko Tashweesh-e-Mah o Saal Na Ho..

Har Aik Fard Ho Tahzeeb-o-Fun Ka Aouj-e-Kamaal..
Koi Malool Na Ho, Koi Khasta Haal Na Ho...

Khuda Karay Meray Aik Bhi Ham Watan Kay Liyay...
Hayat Jurram Na Ho, Zindagi Wabaal Na Ho

woh sheher ju hum se chota tha woh sheher hamara kesa hai

woh sheher ju hum se chota tha woh sheher hamara kesa hai
sab dost hamien piyaray hein mager woh jaan se piyara kesa hai
shab bazem e hariffan sajti hai ya shaam dhely so jatay hein
ab mehfil e yaaran kesi hai, her anjuman ara kesa hai
kiya ko e nigaraan mein ab bi ashaaq ka mela lagta hai
dil waloun ne qatal ke liye muqtal ku sanwara kesa hai
kiya ab bi hamary ghaoun mein gungaroun hein hawa ke paoun mein
ya aag lagi hai chaoun mein, ab waqat ka dhara kesa hai
her aik kasheeda e qamet per kiya ab bi kamandaien perti hein
jab se woh masihadaar hua, her derd ka mara kesa hai
kehtay hein ke her gher ab zindaan hein, kehtay hein zindaan ab muqtal hein
yeh jaber khuda ke naam pe hai, yeh zulm khudara kesa hai
kiya pichlay peher ab bi aankhain bher ati hein, kurlati hein
her lakhat e jiger per kiya guzri, her aankh ka tara kesa hai
yeh shaam e sitam katti hee nahiin, yeh zulamat e shab ghutti hee nahiin
meray badqismat logoun ki qismat ka sitaara kesa hai
panadaar salamat hai ke nahiin bas yeh daikho, yeh mat poocho
jaan raiza raiza kitni hai, dil para para kesa hai
woh pass nahiin ehsaas tu hai, ik yaad tu hai ik aass tu hai
dirya e juddai mein daikho tinkay ka sahara kesa hai
mulkoun mulkoun ghoomay hein bohat jagay hein bohat roye hein
ab tum ku bataien kiya yaro dunya ka nizara kesa hai
aye dais se anay walay mager tum ne tu itna bi na poocha
woh kawi jisay bin baas mila woh derd ka mara kesa hai

Kaha Nhi Tha!

Kaha Nhi Tha!
K Ahd-E-Frda smaj K Baando
Kaha Nhi Tha!
Nibaa Sko Gay?
Muja Zmanay Ke Tmazton Sa
Bachaa Sko Gay?
Bahut kaha Tha!
Sbaahton Mn Bahal Na Jana!
Muja Gira K Sambal Na Jana!
Badalti Ruton Mn Kahien
Badal Na Jana!
Bahut Kaha Tha!
Kaha Nhi Tha!
Sambal Gay Na!
Wohi Howa Na!
Badal Gay Na!

Teray Bad!

Teray Bad!
Jane kis ser-zamin ko jata hai
Yeh Samunder ka damen-e-Jabrot
Char so hawabnak wosat
Waqt Weran, Rastay Mabhot

Dam badem rahi hein sahil say
Kashtiyan ajnabi Jazeron ko
Rastay ka suragh hak milay
Manzil hawab k aseeron ko

Zindgi qaid hai taswer mein
Kaisay kaisay Hayal atay hein
Munzilein sb fraib hotey hein
Rastay gumrahi ko jatay hein

Sai ki trha mit.ty Jati hai
Tere nfrat b, Muhabat b
Ab to kuch b nain raha dil mein
Pehlay Afsos b tha Hairet b

Din guzr jai, Shub guzr jai
Derd Baidar he nain hota
Jaisay ab tuj say tere Ulfat say
Kuch sr-0-kar he nain hota

***mai ku tarkey taaluq ki ibtidaa karta***

***mai ku tarkey taaluq ki ibtidaa karta***

Main Kiyon Na Tark-E-Ta'aluq Ki Ibteda Karta
Wo Dur Dais Ka Baasi Tha Kiya Wafa Karta ?

Wo Mere Zabt Ka Andaza Karne Aaya Tha
Main Has Ke Zakhm Na Khata Tu Aur Kiya Karta ?

Hazar Aiena Khano'N Main Bhi Na Pa Saka
Wo Aiena Jo Mujhe Khud Se Aashna Karta

Dar-E-Qafas Pe Qayamat Ka Habs Tha Warna
Saba Se Zikr Tera Main Bhi Sunn Liya Karta

Meri Zamee'N Too Agar Mujh Ko Raas Aa Jaati !
Main Rifato'N Main Tujhe Aasma'N Sa Karta

Gham-E-Jaha'N Ki Muhabbat Lubha Rahi Thi Mujhe
Main Kiss Tarha Teri Chahat Pe Aasra Karta ?

Agar Zuba'N Na Kat Ti Tu Shehar Main MOHSIN
Main Pathro'N Ko Bhi Ik Rooz HamNawa Karta

andheron ka tasalsul mukhtasar honay nahin deta

andheron ka tasalsul mukhtasar honay nahin deta
sahar ka naam leta hay, sahar honay nahin deta

woh shab fitrat hay us ko roshni achhi nahin lagti
kisi gher main ujalon ka guzer honay nahin deta

woh dehshat banTta hay khowf kay manzar bhi deta hay
koi shakh e tamanna baarawer honay nahin deta

woh saray faislay hasb e zaroorat aap kerta hay
kisi ka herf, Harf e mu'taber honay nahin deta

hamesha doosron main faslay taqseem kerta hay
woh logon ko bahem sheer o shaker honay nahin deta

ameer e karawaN rehnay ka itna showq hay us ko
keh danista bhi takmeel e safar honay nahin deta

***Mere Dostoon Se Poocho***

***Mere Dostoon Se Poocho***

Mere Dard Ki Kahani Meri Hasraton Se Poocho
Main Luti Ho Kis Tarah Mere Dosto Se Poocho

Jo Khuda Tha Mere Dil Ka,mera Dil Usi Ne Tora
Ye Gumo Ki Sarhado Pe Mje Kisne La Chora

Use Mene Kitna Chaha Dharkano Se Pocho
Main Luti Hoo Kis Rtarah Mere Doston Se Poocho

Ye Saza Mere Naseb Ne Di Meri Ashique Ki,
Dia Jisko Dil Usi Ne Mere Dil Se Dillagi Ki

Mai Kahan Kahan Jali Hun Meri Hasratoon Se Poocho
Main Luti Ho Kis Tarah Mere Dostoon Se Poocho.......

Apne hone ka ham iss tarha pata dete thai

Apne hone ka ham iss tarha pata dete thai
khak muthhi mai uthhate thai urha daite thai

be samar jaan k ham kaat chuke hain jo shajar
yaad aate hain k be chare hawa daite thai

uski mehfil mai wahi such tha wo jo kuch bhi kahey
ham bhi gungo'n ki tarah haath uthha daite thai

abb se pehle jo qatil thai boht achhey thai
qatl se pehle jo pani tau pila daite thai

wo hamain kosta rehta tha zamane bhar mai
aur ham apna koi shair suna daite thai

ghar ki ta'meer mai ham barso'n rahe hain pagal
roz deewar uthhate thai gira daite thai

hamm bhi abb jhoot ki paishani ko bosa daingey
tum bhi sach bolne waley ko dua daite thai

Mujhe us KHUDA ki talash hai ...

Mujhe us KHUDA ki talash hai ...

ye zara zara si baat pe,tarha tarha k azab kyun?
jo kisi se bhi khafa na ho mujhay us KHUDA ki talash he

mujhe laghzashon pe har ghari koi tokta ha bar bar?
jissy ker k dil ko dukh na ho mujhay us GUNAH ki talash he

bina hamsafar k kab talak koi musafton main laga rahe?
jahan koi kisi se juda na ho mujhay us RAHH ki talash he

mujhe dekh ker jo aik nazar mere sare derd samajh sake
jo is qadar ho chara-gar mujhay us NIGAH ki talash he

Main wafa ki raah par jo chal parra

Main wafa ki raah par jo chal parra,na main barrh saka na palat saka
Mainay khud hi kiya tha yeh faisla,mujhe tum se koi gila nahin
.
.
Tera piyar ik fareb tha,mujhe jiss ka ilm na ho saka
Chalo! Khair chhorro yeh tazkira,mujhe tum se koi gila nahin
.
.
Main udaas hoon tu hai shaadmaan,main hoon khasta jaan tu hai kaamraan
Hai naseeb sab ka juda juda,mujhe tum se koi gila nahin
.
.
Thay gilay tau us se hazaar ha,sar-e-raah woh jab bhi magar mila
Main nazar chura k yeh keh utha,mujhe tum se koi gila nahin
.
.
Woh jo aaya faysal ki qabar par,kaha thaam kar yeh dil-o-jigar
Tumhain,Haif main na samajh saka,mujhe tum se koi gila nahin....!!!

"sham bahut udas hey"

"sham bahut udas hey"


Koi tou guftgoo kero...........sham bahut udas hey
Tum merey paas he raho.....sham bahut udas hey

Kuch bhi tou boltey nahin, khoul yeh tourtey nahin
Mein nein kaha, suno zara....sham bahut udas hey

Mujh sey nah tum milo mager , mujh sey nah kuch kaho mager
Sham sey aa key kuch kaho..sham bahut udas hey

Deikhoo , Bahut hey ser giraan umer e rawan ki dastaan
Iss mein nah aour ghum bhero sham bahut udas hey

Itna hey iztraab kion, karb mein hein junab kion
Milna hey ger tou aa milo.......sham bahut udas hey

Maana keh tum khafa nahin,kehney kou kuch bacha nahin
Acha sa sheir he perho...........sham bahut udas hey

Koi nahin idher udher , sarey khamoush baam o darr
Kis sey kahein dua karo .........sham bahut udas hey

Kuch tou ilaj e gham kero , Saber e khasta jaan sunoo
Aaj kissi kou khatt likhoo......... sham bahut udas hey

Mujhe apne zabt pe naz tha, sar e bazm, raat ye kya hua

Mujhe apne zabt pe naz tha, sar e bazm, raat ye kya hua
Meri aankh kaise chhalak gayi, mujhe ranj hai ye bura hua


Meri zindagi ke chiragh ka ye mizaj koi naya nahin
Abhi roshni abhi teergi, na jala hua na bhuja hua


Mujhe jo bhi dushman e jaan mila, wohi pukhta kaar e jafa mila
Na kisi ki zarb ghalat pari, na kisi ka teer khata hua


Mujhe aap kiyun na samajh sake ye khud apne dil hi se poochiye
Meri daastaan e hayat ka to warq warq hai khula hua


Jo nazar bacha ke guzar gaye, merey samney se abhi abhi
Ye merey hi shehar ke log they, mere ghar se ghar hai mila hua


Mujh ek gali mein para hua kisi badnasseb ka khat mila
Kahin khoon e dil se likha hua, kahin aansuo'n se mita hua


Mujhe hamsafar bhi mila koi to shikasta haal meri tarah
Kai manzilon ka thaka hua kahin raastey mein luta hua


Humein apney ghar se chaley huey sar e raah umr guzar gayi
Koi justujoo ka silaa mila na safar ka haq hi adaa hua

***Jis Dil Me Muhabbat Hoti Hai***

***Jis Dil Me Muhabbat Hoti Hai***
************************************

Zaban Khamosh Hoti Hain Nazar Se kaam Hota Hai
Isi Mahool Ka Shayad Mohabbat Naam Hoti Hai


Andaz bahakne Lagta Hai, Baton Me shararat Hoti Hai
Ankhon Se pata Chal jata Hai Jis Dil Me Muhabbat Hoti Hai


Jab unse kaha ki tasavur me Dil Aapko Sajde Karta hai
Vo Kahne Lage Tum Karte Raho Ye Khas Ibadat Hoti Hai


Dil Torte Hain Phir Jorte Hain, Rula Ke humen bahlate Hain
Yeh Raaz Khula Dilvalon Me Reulvane Ki Aadat Hoti Hai

Main Roi To Nahi Hoon

Main Roi To Nahi Hoon
......................
Najaney Kiyoon Mera Kajal
Jab Bhi Dalo Ankhon Main
Ab Aksar Phail Jata Hai
Main Roi To Nahi Hoon...

Tum To Jantey Ho In Dino
Bohat Hi Thand Hoti Hai
Tab Hi Hai Surkh Meri Naak
Main Roi To Nahi Hoon...

Kaha To Hai Yunhi Buss
Bheega Hai Aanchal Ka Kona
Choro Tum Fiker Mat Karo
Main Roi To Nahi Hoon...

Nahin, Udaas Kab Hoon Main
Ziyada Kaam Kay Baies
Thakawat Ho Hi Jati Hai
Main Roi To Nahi Hoon...

Eid Aai Hai, Woh Ab Bhi
Nahin Aata To Na Aaye
Ab Us Ki Yaad Mai Dekho
Main Roi To Nahi Hoon...

Bata Dena Us Ko Ja Ker
Koi Khush-Fehmi Na Palley
Waisey Hi Surkh Hain Ankhin
Main Roi To Nahi Hoon...

CHALO....! Ik Nazam likhty hein

CHALO....!
Ik Nazam likhty
hein
kisi k naam karty
hein

magar ye sochna
hai ab?
k us mein zikr kis ka
ho?
k us mein baat kis ki
ho?
k us mein zaat kis ki
ho?
aur ye ye bhi farz
karty hein
k jis p nazam likhty
hein,,,,
humein us se
muhabbat hai
hamary sary jazbon ko
bus us ki hi zaroorat
hai,,,,

chalo ik kaam karty
hein
k hum jo nazam likhty
hein

"TUMHARY NAAM KARTY HEIN"
TUM hi unwan ho
is ka
TUMHARA zikr hai
is mein
TUMHARI baat hai
is mein
TUMHARI zaat
hai is mein...!!!

Sunday, September 6, 2009

Ishq Mujhko Nahin Vehshat Hi Sahi

Ishq Mujhko Nahin Vehshat Hi Sahi
Meri Vehshat Teri Shohrat Hi Sahi

Katta Keeje Na Taalluk Hamse
Kutch Nahin Hai To Adavat Hi Sahi

Mere Hone Mein Hai Kya Rusvayee
Ae Veh Majlis Nahin Khallat Hi Sahi

Hum Bhi Dushman To Nahin Hain Apne
Gair Ko Tujhse Mohabbat Hi Sahi

Apni Hasti He Se Ho Jo Kutch Ho
Aagahi Gar Nahin Gaflat Hi Sahi

Umr Harchand Ki Hai Barke-Kharam
Dil Ke Khoon Ki Fursat Hi Sahi

Hum Koyee Tarqe-Vafa Karte Hain
Na Sahi Ishq Museebat Hi Sahi

Kutch To De Ae Falke-Na-Insaaf
Aaho Fariyad Ki Rukhsat Hi Sahi

Hum Bhi Tasleem Ki Khoo Dalenge
Benayazi Teri Aadat Hi Sahi

Yaar Se Chedh Chali Jaye  faysal
Gar Nahin Vasl To Hasrat Hi Sahi

Agar kabhi meri yaad aaey...!!!!!!!!!!!!!!!!

Agar kabhi meri yaad aaey
To chaand raat ki narm dilgeer roashni main
Kisi sitaaray ko daikh laina
Agar woh taara falak say urr kar
Tumhaare qadmon main aa giray
To yeh jaan laina
Woh mera dil tha
Agar na aaye
Magar yeh mumkin hee kis tarah hai
Ke tum kisi pe nigaah daalo
To us ki deewaar-e-jaan na tootay
Woh apni hasti na bhool jaaey
Agar kabhi meri yaad aaey
Guraiz karti hawaa ki lehron
Pe haath rakhna
Main khushbuwoon main tumhain miloon ga
Mujhe oaas qatroan ke aainoan main
Talaash karna
Main pattiyoan main tumhain miloon ga
Agar oaas qatroan ke aainoan main
Pattiyoan main
khushbuwoon main
Na paao mujh ko
To apne qadmon main dekh laina
Main gard hoti musaafaton main
Tumhain miloon ga
Kahin pe roashan charagh dekho to soach laina
Ke her patangay ke saath main bhi
Bikhar chuka hoon
Tum apne haathon say un patiangoan
Ki khaak darya main daal daina
Main khaak ban kar samandaroan main
Safar karoon ga
Kisi na daikhay hooay jazeeray
Pe ruk ke tum ko
Sadaain doon ga
Samandaroan ke
Safar pe niklo
To us jazeeray pe bhi utarna
Agar kabhi meri yaad aaye

ghane jangloon ke safar pe tha woh jo muddaton se chala hua

ghane jangloon ke safar pe tha woh jo muddaton se chala hua

ghane jangloon ke safar pe tha woh jo muddaton se chala hua
kaheen raat orrh ke so gaya woh janam janam ka thaka hua

nai dastaan shuru hui keh usi kahani ka baab hay.
wohi karbala hay hussain phir se ghaneem mein he ghira hua

miri justuju ko kamal day mujhe shak ke sanchay main dhal day
Miri por por main zehr bhar main hoon amriton ka dasa hua

wohi shola apnay wujood ka wohi lums phir say naseeb kar
tiri aag phir say bharrak utthay keh aalaao kab ka bujha hua

mujhe izn ho keh main ji uthun mujhe izn ho keh main mar sakoon
aey khudaaey zindah bus aek kun main hoon dono samt bata hua

koi chand dhar mere haath pur kabhi mehr e taban saja koi
'yeh charagh koi charagh hay na jala hua na bujha hua'

tiray sab hawalay hain moutabar tira naam sab say buland hay
tu 'Jamal' day kay nishan day, main hoon harf harf mita hua

Tamaasha keya falak dikhla raha hai!

Tamaasha keya falak dikhla raha hai!
YaqeeN aayaa naheeN thaa,aa raha hai
Lahoo meiN aa gai kitni safaidi!
Koi apna hi dil barma raha hai!!
Aqaarib meiN bahut hai sard-mehri
RagoN meiN khoon jamta jaa raha hai
Kisi ki yaad aai misl-e-khushbu
Koi phir kunj-e-dil mahka raha hai
Suno tum ghaur se,waadi meiN koee
Mahabbat kaa taraana gaa raha hai
YahaaN insaan ke haathoN hi aksar
Lahoo insaan kaa bahta raha hai
Chaman meiN baaghbaaN gulcheeN bane haiN
Huwa aei Phool aeisa baarhaa hai

isay khud se juda rakha nahi hay

isay khud se juda rakha nahi hay
wo mera ho ke bhee mera nahi hay

jisay khone ka hay darmujh ko itna
usay meN nay abhee paya nahi hay

zamany ko bhala badle ga wo kia
ke jis ka khud pe bas chalta nahihay

teree yadoN se raushan hay mera dil
ye wo sooraj hay jo dhalta nahi hay

meree ankhoN ka ye darya ajab hay
ke bahta hay tu phir thamta nahi hay

khushee ka ho ya koi gham ka lamHa
guzar jata hay kyuN rukta nahi hay

naqoosh ab zehn se miTne lagay hen
bohat din se usay dekha nahi hay

suna hay phool ab khilte nahi heN
tu kia khul ker wo ab hansta nahi hay

nagar choRa hay jab se us ghazal ne
koi shayer ghazal kehta nahi hay

sabeeh is shehr meN chehre bohat hen
magar koi bhee us jaisa nahi hay

Rehney lagey khud aap hee apney se khafa ham

Rehney lagey khud aap hee apney se khafa ham
"Kia dil key taRapney ka uThatey haiN maza ham
..............
ik jurm e wafa ham ney bhee duhraya bar bar
us jurm ki padash meiN patey haiN saza ham
.........
woh teer nigaheiN jigar key par ho gayeeN
bhooley naheeN meHboob ki koyee bhee ada ham
.............
ham tau wafa shia'ar haiN so mere dosto
ahle jafa bhee ho kayee kartey haiN wafa ham
............
GhaltaN haiN tiree yaad meiN ham sham e saHar yaN
japtey haiN tire nam ki mala ay piya ham
............
aa jao intezar ki ghaRiyan hooyeeN maHal
aisa na ho keh raah meiN ho jaeiN fana ham
............
panchee haiN ham bahar key faysal yahaN
atey hee faSl e gul key hooey naghma saraa ham
............

gham-o-andoh k ye esteaaray tum na samjho gay

gham-o-andoh k ye esteaaray tum na samjho gay
jo din hum nay tumhaaray bin guzaaray tum na samjho gay

tumhain kaisay btaayn tum hmaaray waastay kya ho
smandar ki kahani main kinaaray, tum na samjho gay

bus itna jaan lo ek shakhs say hum nay mohabbat ki
hmaaray tootnay ka khail pyaaray tum na samjho gay

hzaaron mushkilon say khail ker bhi jeetnay waalay
ye aakhir kis jga per aa k haaray,tum na samjho gay

phir os kay baad ka kissa jo mat poocho tu behtar hai
liay thay hum nay apno k sahaaray tum na samjho gay

hmaisha raat ko hi kyon sulagtay hain faysal
nikaltay kyon nahin din main sitaaray tum na samjho gay

Hum kioN na dar e yaar pe nazrooN ko jukhatay

Hum kioN na dar e yaar pe nazrooN ko jukhatay
Aay dekhnay ki taab kahaN say tujhe latay

Ab lotnay ki baat na kar, Aay dil e nadaN
Ik umer lagi hay humaiN is mord tak Aatay

Kuchh log adhooray hi chalay jathay hain dil say
Jub yaad bhi Aatay haiN tow pooray nahi Aatay

Ik baar kabhi dil maiN zara jhaank tow latay
Phir shoaq say Aay dost hamaiN chhord kay jatay

Rul,tha na kabhi dasht e tamanna maiN koi  faysal
Ghar chordnay walay jo kabhi lot kar Aatay

Achi lagti hei bhala kyon ye fiza shaam ke baad

Achi lagti hei bhala kyon ye fiza shaam ke baad
Ho gya ishq to ye ham pe khula shaam ke baad

Zindagi bhar ye charaghon ko shikayat hi rahi
Kyon chala karti hei ye tez hawa shaam ke baad

Din mein to ham pe koi sher utarta hi nahin
Ham ne to jo bhi likha jo bhi likha shaam ke baad

Aa ke dekho to sahi kitne nikhar jate hein
Tum kissi roz milo ham se zara shaam ke baad

Rooh bhi shamil-e-aawaz hooa karti hei
Tum kabhi maang ke dekho to dua shaam ke baad

Meri nazron mein wo bazoq nahin ho sakta
be-sabab jo bhi koi ghar mein raha shaam ke baad

Aaj tak aise parinde nahin dekhe ham ne
bhool jaate hon jo ghar ka pata shaam ke baad

Bazme yaran ho ya ho koi mekhana  faysal
Bethne mein wahan aata hei maza shaam ke baad

Be sabab hi safar meN rehta hooN

Be sabab hi safar meN rehta hooN
MaiN kahaN apne ghar meN rehta hooN

Meri takmeel hi naheeN karta
jiske dast'e hunar meN rehta hooN

Jur'at'e faisla naheeN hoti
Bas agar aur magar meN rehta hooN

Nuqta'o pesh khud hi saNwreN ge
Fikr'e zer'o zabar meN rehta hooN

Rok le ab bhi mujhko girne se
MaiN teri chashm'e tar meN rehta hooN

Maang ker ek dua'e neem shabbi
justju'e asar meN rehta hooN

Door ufaq paar dhoNdta kyooN hay
Teri hadd'e nazar meN rehta hooN

Aate jaate kabhi parao kar
MaiN teri rahguzar meN rehta hooN

Jeene marne ke bain hay jo ussi
Lamha'e mukhtasar meN rehta hooN

Ye to a'ejaaz'e khudkashi hay ke ab
Aalam'e bala tar meN rehta hooN

Kho ke shaheen taqat'e parwaz
Khahesh'e baal o par meN rehta hooN

kuch lamhon ko kuch yadon ko

kuch lamhon ko kuch yadon ko
hum apnay dill main samotay hain
yay lamhay pyar kay lamhay hain
jo yaad ayen to rotay hain

yay chund lamhay jo tumsay milay
mere jeevan ka sarmaya hain
manay saray jahan ka pyar sanam
tere roop main jaisay paya hai

yay pyar tera ahsaan tera
main janam bhool na payun gi
aur jab tak meri sansain hain
meri jaan tujhe main chahon gi

tu nay ishq basa kay sanson main
mujhe honton say lagya hai
mujhe lay kay apni banhon main
ik sacha khawab dikhaya hai

main bhool bhi kaisay payun gi
tere pyar ki is sachayee ko
wo raat jo tere saath kati
wo hum tum aur tanhayeee ko

wo lamhay to ab beet gaye
aur door mere manmeet gaye
haan lekin kuch din saath rahay
aur pyar ki baazi jeet gaye

seenay pay rakh do haath mere
ik wada tum say laina hai
kabhi choro gay na saath mera
mujhe saath tumharay rehna hai

tum door sahi par mere ho
yay saabi say iqrar karo
lab kholo aur itna keh do
lillah na inkaar karo

KaheeN misaal-e-gulistaaN yeh zindagi kaa safar

KaheeN misaal-e-gulistaaN yeh zindagi kaa safar
KaheeN hai aatash-e-sozaaN yeh zindagi kaa safar

Kabhi payaami hai baad-e-sumoom-e-sahraa kaa
Kabhi naqeeb-e-bahaaraaN yeh zindagi kaa safar

RawaaN dawaaN haiN musalsal yeh dhaRkanaiN dil ki
Nafas nafas se numaayaaN yeh zindagi kaa safar

Ufuq ke paar nazar jin ki jaa ke Thahri hai
Huwaa hai un ko hi aasaaN yeh zindagi kaa safar

Khamosh raat maiN qurbat ke jaavidaaN lamhe
Banaa sukoot-e-shabistaaN yeh zindagi kaa safar

Chahal pahal hai jahaaN ke nigaar Khaane maiN
Sadaa hai raunaq-e-dauraaN yeh zindagi kaa safar

Guzaari nisf sadi Phool ne gulistaaN maiN
Abhi talak hai ghazal KhwaaN yeh zindagi kaa safar

Chale jo do qadam aage,maraahil saamne aaye

Chale jo do qadam aage,maraahil saamne aaye
WahaaN daikhe kai raste,maraahil saamne aaye

Tamannaa us ki ham ne ki,raqeeboN se hui doori
Usey apnaaya jab ham ne,maraahil saamne aaye

Khayaal-e-khaatir-e-yaaraaN,hamaiN go iss kaa thaa irfaaN
Ajab naazuk haiN yeh rishte,maraahil saamne aaye

Puraani yaadoN ko chhoRaa,liye ham karb hijrat kaa
Nai dharti pa jab aaye,maraahil saamne aaye

Chaman maiN roi jab shabnam,guloN kaa thaa ajab aalam
Tabassum raiz thay ghunche,maraahil saamne aaye

Mizaaj-e-dahr thaa barham,sukooN ki justuju maiN ham
Lahad maiN jaa ke jab soye,maraahil saamne aaye

Mahabbat hi mahabbat ho,diloN se door nafrat ho
Kahaa jab Phool ne sab se,maraahil saamne aaye

umr bhar ka hisaab hai saheb

umr bhar ka hisaab hai saheb
zindagi ek kitaab hai saheb

tum jo poochoge zindagi kya hai
maut aakhir jawab hai saheb

bhool kar bhi kabhi nahi peena
aanso"n ki sharab hai saheb

ashk gairon ka pi ke dekho to
zaiqa lajawab hai saheb

dil se poocha ke aashiqui kya hai
huske bola azaab hai saheb

aaj jana ke zindagi kya hai
tashnagi izterab hai saheb

kash duniya nadeem ko kahti
kitna hazir jawab hai saheb

Ker liya jurm-e- ishq is dil ne

Ker liya jurm-e- ishq is dil ne
Kaun derta hai ab sazaaon se

Apne dil mae bana ke ghar mera
Poochte hain pata fizaaon se

Uski khushboo samet ker khud mae
Humne ki dushmani hawaaon se

Saadgi uski jaan lewa hai
Maar daala inhin adaaon se

Rog aisa laga liya dil ko
Kaam kya mujh ko ab dawaaon se

Mujh ko parwaana war hona tha
Aur ladna bhi tha shamaaon se

Mujh ko maaloom hai mere nazdeek
Jo bhi hai ma ki hi duaaon se

koi kissa koi afsana sunate jate

koi kissa koi afsana sunate jate
mere mazi se mujhe aaj milate jate

dil ka murjhaya hua phool khilate jate
yaad guzre huye mausam ki dilate jate

aap ki raah mein mai bhi to pada rahta hooN
EK nazar dekh liya kijiye aate jate

aap ne mashk-e-sitam **** diya kyu nahak
kaun si baat thi ham jaan se jate jate

mujhse ye daag-e-judayi na gawara hoga
ho sake to mujhe patthar ka banate jate

unse kah do ke bahaar aa gayi wo bhi aa ke
khaak gulrez ki gulshan mein udate jate

" Usney kaha mujh se !

" Usney kaha mujh se !
Main tum bin ji na paoungi
Main sach much toot jaoungi
Zamana chor doungi !
Khud se janan rooth jaoungi


Main ne kaha us sey !
Agar main mil gaya tumko
To is se farq kiya hoga ?
Mohobat main hamesha jo mila hai
Wo juda hoga !


Usney kaha mujh se!
Agar tum mil gaey mujhko
Main yeh duniya bhula doungi
Tumhare naam pe apna main ye jiwan bita doungi
Tumhari zindagi ka main her ek lamha saja doungi
Tumhara marte dum tuk sath doungi jan luta doungi


Maine kaha us se
Meri jan sach kahon tumse
Yeh wade, sapne, jhoote hain
Hamain tanha hi rehna hai
Saharey apne jhootay hain
Ager main mil gaya tumko
Mujeh tum chor jaugi
Mera dil keh raha hai tum !
Mera dil tor jaugi


Usney kaha mujh se !
Ager tum mil na paey to
Main aisa kar bhi sakti hon
Tumhare bin adhuri hon
Main janan mar bhi sakti hon

Main ne kaha us se !
Yeh janan sub hi karte hain
Safar main sub bicharte hain
Bichar kar log martey hain
Mujhe tum ji k dikhlao !!!!

Waqte hazir mae teri yaad mujhe aa hi gai

Waqte hazir mae teri yaad mujhe aa hi gai
Maine chaha bhi ye kab tha ki bhula doon tujhko

Tujh sa naadaan musafir nahin dekha maine
Ab bhatak ja to main manzil ka pata doon tujhko

Kyon gila kerta hai nahaque meri majboori per
Khud sambhal jaaon to sochoon ki sambhaloon tujhko

Main to maikash bhi nahin houn ki chaloon maikhane
Teri khwahish ho to nazron se pila doon tujhko

Tune gulzaar bana li teri duniyan lakin
Main to ek khwar hoon aa yaaddila doon tujhko

Jaane wale kabhi laute kabhi na bhi laute
Tu to aayega magar haath hila doon tujhko

*Ussay Meri Chup Nay Rula Dia...*

*Ussay Meri Chup Nay Rula Dia...*Ussay Meri Chup Nay Rula Dia...

Usay apnay ferda ki fiker thi wo jo mera wakif-e-kaar tha
Wo jo us ki subh-e-urooj thi wohi mera wakt-e-zawaal tha

Kahan jaogay kahan aao gay mein ye pooch pooch ke thuk gaya
Wo jawaab mujh ko na de saka wo tow khud hee sarapa sawaal tha

Meri baat kaise wo maanta mera derd kaise wo jaanta
Wo tow khud fana ke safer mey tha usay rokna bhi mahaal tha

Wo jo us ke saamnay aagaya wohi roshni mey naha gaya
Ajab us ki hebat-e-ishq thi ajab us ka rung-e-jamaal tha

Dum-e-wapsi arey kya hua na wo roshni na wo taazgi
Wo sitara kaise bikhar gaya wo jo aap apni misaal tha

Wo mila tow sadiyon ke baad bhi mere lub pe koi gila na tha
Usay meri chup ne rula diya jisay guftugu mey kamal tha

Mere saath lug ke wo roo diya mujhe sirf itna hee keh saka
Jise janta tha mein zindagi wo tow mera wehm-o-khayaal tha

Jo dil main hay aankhon ke hawaley nahin karna

Jo dil main hay aankhon ke hawaley nahin karna
Khud ko kabhi khoa�abon ke hawaley nahin karna

Is umar main khush fehmian achi nahin hotin
Is umar ko waadon ke hawaley nahin karna

Ab apnay thikanay per rehta hi nahin koye
Paigham parindon ke hawalay nahin karna

Dunya bhi to pataal say bahar ka safar hai
Manzil kabhi raston ke hawalay nahin karna

Ab jo musafat hamen dar pesh hai us main
Kuch bhi to sarabon ke hawalay nahin karna

Is maarka-e-ishq main jo haal ho mera
Lekin mujhe logon ke hawalay nahin karna

Doob Rahi Hain Saansein Magar Ye Gumaan Baaqi Hai

Doob Rahi Hain Saansein Magar Ye Gumaan Baaqi Hai
Aaney Ka Kisi Shakhs Ke Abhi Imkaan Baaqi Hai

Muddat Hoye Ek Shakhs Ko Bichrhey Lekin
Aaj Tak Merey Dil Pe Ek Nishaan Baaqi Hai

Wo Sayibaan Chin Gaya To Koi Gham Nahee
Abhi To Merey Sir Pe Ye AasmaaN Baaqi Hai

Kashti Zara Kinaarey Ke Qareeb Hi Rakhna
Bikhri Hoyi Lehron Mein Abhi Toofaan Baaqi Hai

Tumharey Hi Ashkon Ne Lab Si Diye Warna
Abhi To Merey Dukhoon Ki Bohut Daastan Baaqi Hai

Ghamon Se Keh Do Ke Abhi Na Rakht-e-Safar Baandhain
Ke Abhi To Merey Jism Mein Kuch Aur Jaan Baaqi Hai

Ja Chukey Hain Sab Log Khamosh Parhi Hai Basti
Magar Kisi Aas Pe Ek Makeen-e-Makaan Baaqi Hai"

Aß Laot aa mery hum'nawa meri zindgi ka swaL hai,

Aß Laot aa mery hum'nawa meri zindgi ka swaL hai,

Tujhey kya sunaoon main diL'rußa tery samney mera haaL hai,

Meri hr khushi tery dam se hai meri zindgi terey gham se hai,

Tery dard se rahy ße'khaßr mery diL ki kß majaL hai,

Tery husn pr hai meri nazar mujhy sußha sham ki kya khaßr,

Meri sham hai teri guftgu meri sußho tera khayaL hai,

Mery d¡L jigr mein sma ßhi ja rahy kion nazr ka ßhi fasLa,

K tery ßagher to jan-e-jan mujhy zndgi ßhi mohaL hai...
__________________

Aoo To..!udaasion ka sabab kya hai kuch bataoo tu

Aoo To..!udaasion ka sabab kya hai kuch bataoo tu
main muntazir hoon kabhi meray paas aao tu

gham-e-faraaq ki doobi hooee fizaoon main
khabar khushi ki zara si ho par sunaoo tu

voh kaun hai jo hamsay aziz'tar hai tumhain
main usko daikh na chahtee hoon usko laaoo tu

udaasion ki sulagtee hai aag seenay main
sunakay marsia is aag kh bujhaoo tu

ghamoon ki doosti achi na dushmani achi
kabhi kabhar khushi ko bhi aazmaoo tu

ZARA SHAAM HONAY DO!!!

ZARA SHAAM HONAY DO!!!
Main Titliyon Ko Sula Don Gi Zara Tum Sham Honay Do
Main Jugno'on Ko Sula Don Gi Zara Tum Sham Honay Do

Meri Gham-Naak Aankhon Ko Na Dekho Tum
Main Tum Ko Bhi Rula Don Gi Zara Tum Sham Honay Do

Tumhain Qaidi Banaya Hai Ujrri Ankhon Ki Mussarrat Ka
Rehaai Bhi Dila Dongi Zara Tum Sham Honay Do

Kahan Aghaz Hota Hai Kahan Anjaam Hota Hai
Hunnar Saray Sikha Don Gi Zara Tum Sham Honay Do

Jo Tum Ne Mujh Say Poocha Hai Kahan Hogi Tumhari Sham
Jahan Hogi Bata Dongi Zara Tum Sham Honay Do

------------****--------------

Dhoop chaon si uski tabait rahi..."""

Dhoop chaon si uski tabait rahi..."""

Raat sunti rahi me sunata raha
Dard ki dastaan me batata raha..

Log logon se chahat nibhate rahe
Aik wo tha mera dil jalata raha..

Dhoop chaon si uski tabait rahi
Wo nigahain milata churata raha..

Aik me hi pyasa tha mere doston
Log peete rahe me pilata raha..

Dil k mehman khane mei ronaq rahi
Koi aata raha koi jata raha..

Hum maktab ne sara sabaq parh lia
Me tera naam likhta mitata raha..

Sahilo'on pe............

Sahilo'on pe............
Kamzoor badbaan hay, hawa taiz kia karain
Aa apni kashtiyon ko supurd-e-khuda karain

apni tabahiyon main hi jab apna haath ho
phir dhushmano k waastay kiya bad-dua karain

Shaki-e-namurad ko tarsaya umer bhar
Ham say chahta tha k hum iltija karain

Hamnay yun ghurbaton main raat bitayee hay sanam
Bhookay faqeer ko ab rukhsatzada karain

Duniya teray faraib say jo bach kay nikle
To sahiloon pay hum bhi namazain ada karain

Na Tujhe Chor Saktey Hain Terey Ho Bhi Nahi Saktey,

Na Tujhe Chor Saktey Hain Terey Ho Bhi Nahi Saktey,
Ye Kaisi Bebasi Hai Aaj Hum Ro Bhi Nahi Saktey,

Ye Kaisa Dard Hai Pal Pal Hamain Tarpaye Rakhta Hai,
Tumhari Yaad Aati Hai To Phir So Bhi Nahi Saktey,

Chupa Sakte Hain Aur Na Dikha Saktey Hain Logon Ko,
Kuch Aise Daagh Hain Dil Par Jo Hum Dho Bhi Nahi Saktey,

Kaha To Tha Chor Dein Ge Ye Nagar Phir Ruk Gaay Lekin,
Tumhain Paa To Nahi Saktey Magar Kho Bhi Nahi Sakte,

Hamara Aik Hona Bhi Nahi Mumkin Raha Ab To,
Jeeyein Kaise K Tum Se Door Reh Bhi Nahi Saktey !!!!!!!!

Har Khushi Hai Logon Ke Daman Mein

Har Khushi Hai Logon Ke Daman Mein
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi
Din Raat Daudti Duniya Mein
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi

Saare Naam Mobile Mein Hain
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi
Gairon Ki Kya Baat Karen
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi

Aankhon Me Hai Neend Badee
Par Sone Ka Waqt Nahi
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi

Paison Ki Daurh Me Aise Daurhe
Ki Thakne Ka Bhi Waqt Nahi
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi

Tu Hi Bata E Zindagi
Iss Zindagi Ka Kya Hoga
Ki Har Pal Marne Walon Ko
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi

Popular Posts