Thursday, March 12, 2009

Khvaab-nagar hai aaNkheN khole dekh rahaa huuN

Khvaab-nagar hai aaNkheN khole dekh rahaa huuNus ko apnii jaanib aate dekh rahaa huuN

kis kii aahaT qarya qarya phail rahii haidiivaaroN ke rang badalte dekh rahaa huuN

kaun mire jaaduu se bach kar jaa saktaa hai!aaiinaa huuN, sab ke chehre dekh rahaa huuN
darvaaze par tez havaaoN kaa pahraa haighar ke andar chup ke saaye dekh rahaa huuN
jaise meraa chehraa mere dushman kaa hoaaiine meN Khud ko aise dekh rahaa huuN
manzar manzar viiraanii ne jaal taane haiNgulshan gulshan bikhre patte dekh rahaa huuN
manzil manzil hol meN Duubii aavaazeN haiNrastaa rastaa Khauf ke pahre dekh rahaa huuN
shah’r sangdlaal (?) meN “Amjad” har raste paraavaazoN ke patthar chalte dekh rahaa huuN

No comments:

Popular Posts