Thursday, March 12, 2009

Mohabbat ka to gham hota bohat hai,

Mohabbat ka to gham hota bohat hai,K ab yeh lafz bhi ruswa bohat hai
Udasi ka sabab mein kia bataon,gali koochon mein san'nata bohat hai
Na milney ki qasam kha kar bhi mein ne,tujhay har raah mein dhondha bohat hai
Yeh ankhein aur kia dekhein kisi ko,in ankhon ne tujhay dekha bohat hai
Najanay kiyon bacha rakhay hain ansu,abhi shayad mujhay rona bohat hai
Tujhay maloom to ho ga meray hamdam,tujhay ik shakhs ne chaha bohat hai

No comments:

Popular Posts