Thursday, March 12, 2009

Musalsil roktii hoon iss ko shahar-e-dil main aaney se

Musalsil roktii hoon iss ko shahar-e-dil main aaney seMagar wo kohkan rukta nahin deewaar dhaanay se
Bhala kiya dukh ke aangan main sulagtii larkiyan jaanainKahin chuptay hain aansoo aanchalon main moo chupanay se
Abhii tu fasal taaza hai humaare harf-o-maanay kiiAbhii dartay nahin hum mousamon ke aane jaane se
Abhii to ishq main aankhain bujhii hain, dil salaamat haiZaminain baanjh hotii hain kabhii fasalain jalaanay se
Tujhe tanha mohabat ka ye dariya paar kerna haiNidaamat hogii iss ke hoslon ko aazmanay se********************

No comments:

Popular Posts