Thursday, March 12, 2009

Paa-ba-gil sab hain rihaaii kii kare tadabiir kaun

Paa-ba-gil sab hain rihaaii kii kare tadabiir kaun Dast-bastaa shahar main khole merii zanjiir kaun
Meraa sar haazir hai lekin meraa munsif dekh lay Kar rahaa hai mere fard-e-jurm kii tahariir kaun
Aaj darvaazon pe dastak jaanii pahachaanii sii haiAaj mere naam laataa hai merii taaziir kaun
Niind jab Khvaaboon say pyaarii ho to aisay ahad main Khvaab dekhay kaun aur Khvaaboon ko day taabiir kaun
Raiet abhii pichhale makaanon kii na vaapas aaii thii Phir lab-e-saahil gharaundaa kar gayaa taamiir kaun
Saaray rishtay hijraton main saath detay hain to phir Shahar say jaatay hoa hotaa hai daaman giir kaun
Merii chaadar to chheenii thii shaam kii tanhaaii nay Beridaaii ko merii phir day gayaa tashahiir kaun
Dushmanon kay saath meray dost bhii aazaad hain Dakhanaa hai khenchataa hai mujh pe pahalaa tiir kaun

No comments:

Popular Posts