Saturday, August 7, 2010

Dasht main pyas bojhate hua mar jate hain.

Dasht main pyas bojhate hua mar jate hain.
Ham parinde kahin jate hua mar jate hai.

Hum hai sookhe hua talaab pe bathe hua hans.
Jo taluq ko nibhate hua mar jate hain .

Ghar pohanchta hai koi aur hamare jasa.
Hum tare shaher se jate hua mar jate hain.

Kis tarah loog chale jate hain oth kar chup chap
Hum to yeh dihaan main late hua mar jate hain.

Un ke bhi qatal ka ilzaam hamare sar hai.
Jo hamein zahar pilate hua mar jate hain 

Yeh mohabbat ki kahani nahin marti lakin.
Loog kirdaar nibhate hua mar jate hain
.
Hum hain woh tooti hua kashtiun wale shah.
Jo kinaroon ko milate hua mar jate hain.

No comments:

Popular Posts