Saturday, August 7, 2010

Tumhain jab pyaar hojaye Meri chokhat pay aajana


Tumhain jab pyaar hojaye

Meri chokhat pay aajana

Nahin kehna hamay lub say

K hum say pyaar kartay ho

Jhuka lena zara nazrain

Zara sa chup hi reh lena

Tumharay dil ki betaabi

Tumharay dil ki baichaini

Wohi hum jaan jain gay

Woh pal pehchan jain

Tumhain iqraar hay ab to

K thora pyaar hay ab to

Tumhain jab pyaar hojaye

Meri chokhat pay aajana

Nahin yeh soochna tum k...

Maazi main hua kya tha

Chupana phir nahin hum say

K hum say pyaar kartay ho

Haan mana dost to tum ho

Magar yeh.......dosti kaisi

Jo hum say keh na pao

Zara si baat jo dil ki

Chalo phir dost hojana

Zara madhoosh hojana

Tumhain jab pyaar hojaye

Meri chokhat pay aa jana

No comments:

Popular Posts