Saturday, August 7, 2010

Meri zindgi ik khwab hai Ik dilkash sa khwab hai


Meri zindgi ik khwab hai
Ik dilkash sa khwab hai

Meri her ada main ghroor hai
Ik ajeeb sa saroor hai

Main ik unchooi kitab hoon
Khwahishon ka azab hoon

Kabhee piyar ka guman hoon
Kabhee nafrton ka nishan hoon

Hai man main meray chah bohat
Aur karna chahon wafa bohat

Par man mera hai ujra hooa
Musafir hoon khude say bichra hooa

Jisay socha thaa kabhee piyar karoon
Apni chahton main shumaar karoon

Uss nain aisa man mara
Main piyar aitbaar sab hara

Raton ko main jagta hoon
Khude ko khude main khojta hoon

No comments:

Popular Posts