Saturday, August 7, 2010

Zakham seenay ki baat karo saath jeenay ki baat karo


Zakham seenay ki baat karo saath jeenay ki baat karo
tamam shab tasnagi main basar ki aab tou peenay ki baat karo

dil tak utrnay ke ham nahi hain kaail
tum rooh tak utrnay ki baat karo

ansoo ban kar girnay se kia faida
khawab ban kar basnay ki baat karo

paa gai ho agar tum raza hayat
yu iss qatray se samandar ki baat karo

tarikion main doob kar aiy aihlay wafaon
charagay laho se ojaloon ki baat karo

qafas ka panchi bana hamain gawara nahi
aoo in khuli fizaon ki baat karo

walion se aiy bilal hamain nahi ikhtilaf
par koi tou mansoor si baat karo

No comments:

Popular Posts