Saturday, August 7, 2010

Dua hai raho Aabad iss tarha


Dua hai raho Aabad iss tarha
Chaman main ho phool shadab jis tarha
Chand tumain dekhnay aya karay yahan
Sitaray iss nazar k chamkain tumara pass
Khusiyan tumara pass say jayin na kabhi
Tum bhol jayo gham ko kuch iss tarha
Tum soch lo wo ankhain,dekh lo samandar
Shayad mil jaya pyaar ki gehrayi iss tarha
Jis main na ho nami, bas roshni rahay
Bas rahoo hamesha uss aankh ki tarha
Soocho bhi jiss ko tum, tumain mil jaya
Dua hai rakhay Khuda tumain abad iss tarha

No comments:

Popular Posts