Tuesday, August 20, 2013

tishna kaami ki saza do to maza aa jaye

tishna.kaami ki saza do to maza aa jaye
 tum hamain zehar pila do to maza aa jaye

 meer.e.mehfil bane bethe hain bare naaz se hum
 humain mehfil se utha do to maza aa jaye

 tum ne ehsaan kia tha jo hamin chaaha tha
 ab wo ehsaan jata do to maza aa jaye

apne yousuf ko zulekha ki tarah tum bhi kabhi
 kuch haseenon se mila do to maza aa jaye

 chain parta hee nahi hai tumhain ab mere beghair
 ab jo tum mujh ko ganwa do to maza aa jaye

No comments:

Popular Posts