Tuesday, August 20, 2013

woh jo kya kuch na karnay walay thay

woh jo kya kuch na karnay walay thay
 bas koi damm mein marnay walay thay

thay gilay aur gard baad ki shaam
aur hum sab bikharnay walay thay

 woh jo aata to us ki khushboo mein
aaj hum rang bharnay walay thay

 sirf afsos hai yeh tanz nahi
 tum na sanwray, sanwarnay walay thay!

 yun to marna hai aik baar magar
hum kaii baar marnay walay thay!

No comments:

Popular Posts