Thursday, November 7, 2013

Dilon se mehr-o-wafaa aankh se hayaa nikle

Dilon se mehr-o-wafaa aankh se hayaa nikle
To aese sheher ki galiyon mein koi kya nikle,

Pakarti reh gayi ratain hamare saayo’n ko,
Hum aik khawb mein doobey to jaa’bjaa nikle,

Ajab nahin inhi dar’warsan main phool khilain,
Koi bahaar ka qaasid* idhar jo aa nikle,

Wohi falak* tha, wohi raat thi, wohi mausam,
Magar hamare sitare judaa judaa nikle,

Yeh ab jo rait si saarey mein urti phirti hai,
Kisey khabar ke kisi raaste mein ja nikle,

Samajh main kuch nahin aata yeh raasta Amjad,
Chale they us ki taraf, apni simt aa nikle..

No comments:

Popular Posts