Tuesday, September 1, 2009

ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiN

ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiN
sab ke dil se utar gayaa huuN maiN


kaise apnii haNsii ko zabt karuuN
sun rahaa huuN ke ghar gayaa huuN maiN


kyaa bataauuN ke mar nahiiN paataa
jiite ji jab se mar gayaa huuN maiN


ab hai bus apna saamnaa darpesh
har kisii se guzar gayaa huuN maiN


voh hii naaz-o-adaa, voh hii Ghamze
sar-ba-sar aap par gayaa huuN maiN


ajab ilzaam huuN zamaane kaa
ke yahaaN sab ke sar gayaa huuN maiN


kabhii Khud tak pahunch nahiiN paayaa
jab keh vaaN umr bhar gayaa huuN maiN


tum se jaanaaN milaa huuN jis din se
be-tarah, Khud se dar gayaa huuN maiN


kuu–e–jaanaaN meN sog barpaa hai
ke achaanak, sudhar gayaa huuN maiN

No comments:

Popular Posts