Tuesday, September 1, 2009

Zindagi taiz, bohot taiz hawa ka jhonka

Zindagi taiz, bohot taiz hawa ka jhonka
jalti bujhti huee sham'ain hain mah-o-sal meray
dhalta suraj meray maazi ki lehad ka katba
raig-e-sehra ki lakirain hain khad-o-khal meray

chaand meray tan-e-majrooh par sang-e-e'zaaz
dhuup chhaun meray sad chaak libaday ka khiraj
sab sitaray meri poshaak kay pewand-e-naheef
meray aansoo mera wirsa meri aankhon ka mizaj

mera chehra meray maqtool hunar ki tareekh
meri aankhain meri dukhti huee raton kay charagh
meray honton pay meri paay kay nohon ka hujoom
meray seenay pay darakhshaan meri toheen kay daagh

aah ju shaam, ke har saal issi shaam ke sath
meri ukhri hoi sansoon mien girah lagti hai
asmaan waqt ke anchal mein dhanak bunta hai
sari dharti tan e uryaan ki zirah lagti hai

aaj ki shaam ke har saal mere zakhan nawaz
muskuratay hoye kuch phool ata kartay hain
kuchh masiha meri kharit mera dil rakhnay ko
khat mein jeenay ki dua bhej diya kartay hain

saal ha saal guzarnay pe bhi ye dil zadgan
aaj ki shaam manatay hoye dar lagta hai
muskuratay houe chehron kay bhanwar hain laikin
aakhri shaam aa jalatay hoye darr lagta hai

dil dharakta hai ke jalti huee shaamon ka dhuwan
shola e karb mein tehleel na ho jaye kahin

aoo kuch dair ko ham zakham shumari kar lien
aur kuch dair mein har shaam pighal jaye gi
aaj ki bazm mein kho jain kahin so jain
aaj ki shaam bhi kuch dair mein dhall jaye gi

jalti bujhti huee shamoon ka bharosa kiya hai
zindagi taiz bohat taiz hwa ka jhonka.....

No comments:

Popular Posts