Tuesday, September 1, 2009

…:::Maa’n (mother):::…

Zindagani Ke Safar Main Gardishoon Ki Dhoop Main
Jab Koye Saya Nahi Milta To Yaad Ati Hai Maa’n

Payar kahtay Hain Kise Aur Mamta Kiya Cheez Hai
Koye Un Bachoon Se Pochay Jin Ki Mar Jati Hai Maa’n

Ghar Se Jab PPardes Ja Ta Hai Kooye Noor-e-Nazar
Hath Main Qur’an Le Ker Dar Pe Aajati Hai Maa’n

De Ke Bachay Ko Zamanat Main Razaye Pak Ki
Peechay Peechay Sir Jhookaye Door Tak Jaati Hai Maa’n

Kanpti Aawaz Se Kehty Hai Baita “Ulwida”
Samnay Jab Tak Rahe Haatoon Ko Lehrati Hai Maa’n

Jab Perayshani Main Ghar Jatay Hain Hum Pardes Main
Ansoon Ko Poonchnay Khawaboon Main Aajati Hai Maa’n

Dair Ho Jati Hai Ghar Anay Main Aksar Jab Hamain
Rait Per MAchli Ho Jaisay Aisay Ghabrati Hai Maa

Martay Dum Tuk uska Bacha Na Ghar aye Pardes Se
Apni Dono Putliyaan Chokhat Pe Rukh Jati Hai Maa’n

Baad Mar Janai Kai Phir Baite Ki Khidmat Kai Leye
Bhaise Beti Ka Badal Kar Ghar Main Aajati Hai Maa

No comments:

Popular Posts