Tuesday, September 1, 2009

main to iss karb-e-nazara say tadap utha hoon

main to iss karb-e-nazara say tadap utha hoon
Kitnay aaisay hain jinhain hasrat-e-bainaee hai
Jin ki qesmat main kabhi dolat-e-deedar nahi
Jin ki qesmat main tamasha na tamashaee hai

Jo tarsatay hain k kirnoo'n ko barasta dakhei'n
Jo yah kahtay hain k manzil nahi rasta dekhei'n

Unn say kah do k vo aaein maree aankhain lay lain
iss say pahlay k jisam mara fana ho jaey
Iss say pahlay k yah khakstar-e-jaa'n bhi na rahay
iss say pahlay k hashar bapa ho jaey
Apnay chahray pay laga lay koi maree aankhain

Kon sah paey ga lakin maree aankhoo'n k aazab
Kis ko yah hosla ho ga k hamaisha dekhay
Apni palkoo'n ki saliboo'n say utartay howay khawab

Jin ki kircheeo'n ki chubhan rouh main bas jati hai
Zindagi,zindagi bhar k liyey kurlati hai!!!!!!!!!
__________________

No comments:

Popular Posts