Tuesday, September 1, 2009

uss ne kaha k ishq ka nasha utar gaya

uss ne kaha k ishq ka nasha utar gaya
maine kaha k husn bhi aankho'n se tarr gaya

uss ne kaha k tujhko dilani hain churhiya'n
maine kaha k abb wo zamana guzar gaya

uss ne kaha k kya hai ye kajal ki dhaar si
maine kaha k aankh se darya guzar gaya

uss ne kaha k kiya mila mujhse bighaarh k
maine kaha k waqt to achha guzar gaya

uss ne kaha k khwab mai aane ka waqt do
maiane kaha k nind ka mausam guzar gaya

uss ne kaha k chand se chehrey ka kya huwa
maine kaha k wo merey dil mai utar gaya

uss ne kaha k wo nahi dega tumhara sath
maine kaha k wo chalo wa'ada to karr gaya

nazro'n se you'n giraya jaha'n bhar k saamne
shayar to uska aik hi lamhe mai marr gaya

No comments:

Popular Posts