Tuesday, September 1, 2009

Tujhi ko jo yan jalwa farma na dekha

Tujhi ko jo yan jalwa farma na dekha
Barabar hai duniya ko dekha na dekha

Mera Guncha-e-dil hai woh dil-girifata
Ke jis ko kaso ne kabhi wa na dekha

Aziat musibat malamat balayen
Tere ishq main ham ne kya kya na dekha

Kiya mujh ko daGon sarv-e-chiraGan
Kabho tu ne akar tamasha na dekha

TaGaful ne tere ye kuchh din dikhaye
Idhar tu ne lekin na dekha na dekha

Hijab-e-ruKh-e-yar the ap hi ham
Khuli ankh jab koi parada na dekha

Shab-o-roz aye "Dard" darapai huun us ke
Kaso ne jise yan samajha na dekha



_________________

No comments:

Popular Posts