Tuesday, September 1, 2009

Mohabbat jab laho ban kar

Mohabbat jab laho ban kar
ragoon main ser saray to
koi bhola hua chehra
achanak yaad aye to
kadam mushkil se uthte hoon
irada dagmagay to
koi madham se lahje main
tumhain wapas bolay to
thahr jana
samjh lana
ke ab wapas paltne ka amal aghaaz hota ha
kabhi tanhaiyoon ka dard
ankhoon main samay to
koi lamha ghuzishta chahatoon ka
jab sataye to
kisi ki yaad main rona
tumhain bhi khoon rulay to
agar tum se tumhara dil
kisi dam roth jay to
kabhi anhooniyoon ka darr
parindoon ko urhae to
hawa jab darkht se ik zard sa
patta giray to
thahr jana
samjh lana
Ke ab wapas paltne ka amal aghaaz hota ha

No comments:

Popular Posts