Tuesday, July 6, 2010

Ab kay tajdeed-e-wafa ka nahin imkaa'n jaana


Ab kay tajdeed-e-wafa ka nahin imkaa'n jaana
Yaad kya tujhko dilayen tera pemaa'n jaana

Yunhi mausam ki adaa dekh kay yaad aya
Kis qadar jald badal jatay hain insan jaana

Zindagi teri at'aa ki thi, so tere naam ki hai
Humne jaise bhi basar ki, tera ehsaa'n jaana

Dil yeh kehta hai shayed ho afsarda tu bhi
Dil ki kya baat karain, Dil tu Nadaa'n jaana

No comments:

Popular Posts