Tuesday, July 6, 2010

Main sab qadrein Lutta deti,woh aitbaar karta tu


Main sab qadrein Lutta deti,woh aitbaar karta tu
Han main sab kuch ganwaa deti,gar woh pyar karta tu

Udaasi mujhe uss ki qatt'yan ganwara na thi
Main Ho jati ghayal woh waar karta tu

Main chun chun phool barsati uss per
Per woh mere naam koi bahaar karta tu

ANA pe chaut sehna dushwar tu hai lekin
Main haar jaati gar woh taqraar karta tu

No comments:

Popular Posts