Tuesday, July 6, 2010

Qatra qatra samandar tu banane ajaa


Qatra qatra samandar tu banane ajaa
Main zinda boon abhi mujhe Rulaney ajaa
Wo khwaab jinhein hasraton se dekha karta hoon
Aa unn khwaab ka anjaam bataney ajaa...


Falak dekh kar mujhko ankh muchleta hai
Parbat hairan hain sunke kahani ajaa
Shabnam bhi roye meri halat par abb
Aa durriya ko mil jaye rawani ajaa...


Waqt guzra tu laut kar kabhi na ayega
Meri ulfat nahi tu nafrat kay saharey ajaa
Zeher bhi asar abb karne laga hai
Aa farishta bhi baahein pasarey ajaa...


Roshni ankhon ko ab chubney lagi hai
Karz koi andherey ka utarne ajaa
Aur duniya mujh per hansne lagi hai
Aa aik umr koi tanha guzarey ajaa...


Mere halaat tujh tak beyaan hote nahi
Naseem bhi honey lagi hai ab sayani ajaa
Laboon ko sii kar tanha beth gaye
Kis kis ko kahani hai sunani ajaa...

No comments:

Popular Posts