Tuesday, July 6, 2010

Dil kissi yaar-e-Ba'wafa ki tarah


Dil kissi yaar-e-Ba'wafa ki tarah
Ba'khabar hai bohut KHUDA ki tarah

Zindagi bhar tumhara naam mere
Dil se niklna kissi DUA ki tarah

Main ne har morr per tujhe dhoondha
Hijr kay shehar ki hawa ki tarah

Umer bhar tera dukh uthaya hai
Waqt ki di huwi saza ki tarah

Kuch nahi soojta muhobbat main
Khauf aur gham ki inteha ki tarah

No comments:

Popular Posts