Tuesday, July 6, 2010

Aik joo-e-dard dil se jigar tak rawaan hai aaj


Aik joo-e-dard dil se jigar tak rawaan hai aaj
Pighlaa huwa raagon main ik aatish-fishaan hai aaj

Lab sii diye hain taa na shikaayat kare koi
Lekin har aikk zakhm ke munh main zubaan hai aaj

Taarikiyon ne gher liyaa hai hayaat ko
Lekin kisi kaa roo-e-haseen darmiyaan hai aaj

Jeene kaa waqt hai yahi marne ka waqt hai
Dil apni zindagi se bohut shaadamaan hai aaj

Ho jata hoon shahid har ahl-e-wafa ke saath
Har dastaan-e-shauq meri dastaan hai aaj

Aaye hain kis nishaat se ham qatl'gaah main
Zakhmon se dil hai choor nazar gul-fishaan hai aaj

Zindaaniyon ne torr diyaa zulm kaa ghuroor
Wo dab-dabaa wo raub-e-hukoomat kahaan hai aaj

No comments:

Popular Posts