Tuesday, July 6, 2010

Ay Khuda aaj yeh faisla karde


Ay Khuda aaj yeh faisla karde
Usse mera yan mujhe uska karde

Bohut dukh sahey hain maine
Koi khushi ab tu muqaddar karde

Bohut mushqil lagta hai usse door rehna
Judai kay safar ko kum karde

Jitna door chaley gaye woh mujhse
Usse utna kareeb karde

Nahi likha agar naseeb main uska naam
Tu khatam kar yeh zindagi aur mujhe Fanaa karde

No comments:

Popular Posts