Wednesday, April 29, 2009

Kabh i KitaaboN meiN Phool rakhnaa

Kabh i KitaaboN meiN Phool rakhnaa 
Kabhi DaraKhtoN pe Naam likhnaa 
Hamein bhi hai Yaad aaj tak wo 
Nazar se Harf-e-Salaam likhnaa 
Wo Chaand Chehre wo behki Baatein 
Sulagte Din the mehakti Raatein 
Wo cHoTe-cHoTe se KagHazoN par 
MuhabbatoN ke Payaam likhnaa
Gulaab ChehroN se Dil lagaanaa 
Wo chupke chupke Nazar milaanaa 
Wo Aarzooun ke kHawaab buNnaa 
Wo Qissaa-e-Naatamaam likhnaa 
Mere Nagar ki HaseeN Fazaao 
KahiN jo un ke Nishaan paao 
To poocHnaa ye kahaaN base ho 
KahaaN haiN un kaa Qayaam likhnaa
Gai RutoN meiN "Hassan" hamaaraa 
Bas ek hi to ye mashgHalaa thaa 
Kisi ke Chehre ko Subah kehnaa 
Kisi ki ZulfoN ko Shaam likhnaa

Popular Posts