Wednesday, April 29, 2009

yuN maatmi sey libaas meiN koi aah-o-fagaaN hey aaj bhi

yuN maatmi sey libaas meiN koi aah-o-fagaaN hey aaj bhi
jesey chahsm-e-tar meiN khaab koi pareshaaN hey aaj bhi

meiN zindagi ki raah-guzar pe dar-badar hooN is leeye
ke mohabatoN ke shehar meiN dil be'makaaN hey aaj bhi

teri aarzu hey bohat magar meri pohaNch nahi hey is qadaR
meri khuwaahishoN ke waastey tu aasmaaN hey aaj bhi

meiN toheed ke har hisaab sey wesey to musalmaan hooN
par tujhey poojney ki baat hey, to dil be'imaaN hey aaj bhi

teri anjuman tera har karam, teri chahateiN to chin gaeeN
magar dard jo mera naseeb bana wo meharbaaN hey aaj bhi

teri azyatoN ka sawaal hey to mujhey kal bhi zabt pe naaz tha
tujhey kosney ki baat hey to dil be'zubaaN hey aaj bhi

kabi dard had sey baRha bhi to meiN teRi had sey baRha nahi
meri to saaNs ki tasbeeyoN meiN ik tu hi rawaaN hey aaj bhi

so baadloN ke silsiley meri chatt pe baras kar chaley gaey 
par jala jala dhuwaaN dhuwaaN mera aashyaaN hey aaj bhi

mujhey kal miley they kuch gulaab jo terey leeye ye keh gaey
ke terey intizar meiN sog'waR gulshan ka samaaN hey aj bhi

Popular Posts