Wednesday, April 29, 2009

Kisi ki aankh se sapne chura kar kuch nahi milta

Kisi ki aankh se sapne chura kar kuch nahi milta
Mandiron se chiragon ko bujha kar kuch nahi milta 

Koi aik adh sapna ho to phir accha be lagta hai
Hazaron khawab ankhon mein saja kar kuch nahi milta 

Yeh accha hai ke aapas ke bharam na tootne payein
Kabhi kabhi doston ko azma kar kuch nahi milta

Amal ki sookhti rag mein zara sa khoon shamil kar
Mere humdam faqat batein bana kar kuch nahi milta

Mujhe aksar sitaron se yeh awaz aati hai
Kisike hijar mein neendein ganwa kar kuch nahi milta

Jigar ho jayega chhalni yeh ankhein khoon royengi
Ae dil Be’faiz logon se nibah kar kuch nahi milta

Popular Posts